27 August 2009

SMS on Shahzada Ali Asghar (A.S) Ibne Hussain (A.S)





Ek Bar Parh K Daikh Lay Tareekh e Karbala 
6 Mah K Sagheer Nay Kia Kaam Kar Diya 
jitna Dya Hai Khoon Muhammad K Deen Ko
Asghar Nay Maa Ka Doodh Bhi Itna Nahi Piya







Teer jab hurmala ka chala
Nannhe asgar ne has kar kaha ....
Ja koi dusara teer
la kunki ye toh bekar hai








“Aankh soti hai, hamaray dil kabhi sotay nahin,
Apnay mansab ki fazeelat ko kaheen khotay nahin;
Teer kha ke, muskura ke, keh gaye Asghar (A.S) humain,
Hum hain Aulad e Ali (A.S), maidan mein rotay nahin.”










“Ye kon bay zuban hai, tumhein kuch khayal hai?
Durr e Najaf hai, Bano e baikas (S.A) ka laal hai.
Lo maan lo, tumhein qasam e Zuljalal hai,
Yasrab k Shahzaday ka pehla sawal hai;
Pauta Ali (A.S) ka tum say talabgar e aab hai,
De do, ke iss mein naamwari hai, swab hai.”










"Laashay kay munh ko daikh kay kehnay lagay ye Shah (A.S),
Bay-chaargi ka waqt hai, Asghar (A.S), Khuda gawaah,
Maa behnain ghar mein, baap pay yaan nargha-e-sipaah,
Ye raig-e-garm, aur ye badn-e-narm, aah, aah;
Dil saath nikla parhta hai, kyun-kar juda karoon,
Sonpoon kisay, litaaoon kahan, aah, kia karoon."










"Pani, pani kar gyi darya ko ek bachchay ki piyaas,
Tishnagi ko saans lenay ka qareena aa gya;
Teer kha kar hans parha Asghar (A.S) kuch iss andaaz say,
Sharm say qaatil kay maathay par paseena aa gya."












"Suno! Furaat ki lehron say aa rahi hai sada,
Ali (a.s) kay laadlay potay ki tashnagi ko salam!
Najaf kay Shah (a.s) nay Karb-o-Bala kay Shah (a.s) say kaha:
Hussain (a.s), mein bhi Ali (a.s) hoon; teray Ali (a.s) ko salam!"










"Har jung mein qanoon hai hathiyar say larhna,
Khanjar say kabhi, teer say, talwar say larhna,
Aata hi nahin logon ko ufkaar say larhna,
Samjhaaoon ga duniya ko mein kirdar say larhna;
Iss nasl say har nasl ko imdad milay gi,
Maa'on ko meray jhoolay say aulaad milay gi."

0 comments: