27 August 2009

SMS on youngest shaheed son of Imam Hasan (A.S) Shahzaada Qasim (A.S)







7 SHABAN MUSARRAT KI KHABAR LAI HAY,

GHAR MAIN SHABAR(A.S) K MEHEKTI SEHER AAI HAY,

AMAD-E-HAZRAT-E-QASIMKI SHAB MUBARAK HO,

GULSHAN-E-PANJETAN (A.S) PER NAOBAHAR AAI HAY












Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me











"Ronay lagey Sheh (A.S) laasha-e-Qasim (A.S) say lipat kar,
Sar peet kar chillaaye kay hay, hay, meray dilbar,
Aa ponhchay wahan itnay mein Abbas-e-Dilaawar (A.S),
Ro ro kay Alamdar (A.S) say kehnay lagey Sarwar (A.S);
Mein lut gya, duniya say safar kar gye Qasim (A.S),
Pani na mila, tishna dehen mar gye Qasim (A.S)."






"Hazrat ko di sada kay Chacha jaan, aayye,
Khaadim hua huzoor pay qurbaan, aayye,
Duniya mein damm ka hai mehmaan, aayye,
Sar kaatnay ka hota hai saamaan, aayye;
Waqt aa gya kay auj-e-shahaadat husool ho,
Ab aakhri salaam hamaara qubool ho."







"Fiza mein aaj kitni dil-kashi, kia jaan-nawazi hai,
Yeh sab Qasim (a.s) ki bazm-e-dehr mein jalwa-tarazi hai;
Yeh gul woh hai kay jiss ki rug, rug mein barq-tabani,
Hasan (a.s) kay khoon mein Shabbeer (a.s) ki kirdar-sazzi hai."







"Hasan (a.s) ki goad mein ek aftab utra hai,
Kay maah qadmon ko choomnay zameen pay utra hai;
Liyay huay hain Qasim (a.s) ko Hasan (a.s) hathon par,
Zameen say arsh talak iss ka noor bikhra hai."






"Dilon pay naqsh rahay gi azmat-e-Qasim (a.s),
Hisaar-e-noor mein goya hai soorat-e-Qasim (a.s);
Hasan (a.s) ki goad mein aye woh muskuratay huay,
Mubarak aap ko bhi ho wiladat-e-Qasim (a.s)."







• Khoshi Se Jhoom Uthi Hain KaLiyan Bagh'e ZEHRA Ke •
• Yahan Amad Hy QASiM Ke, Bhari Hy Goud FARWA Ke•


• Mubarak Ho Mubarak Ho iMAMe MUJTABA TuM Ko •
• Yeh He Aati Hain Jannat Se Sadaen BiBi ZEHRA Ke •








• Lashkaron Pay Aik Piyasay Ke Charhai Daikh Lay •
• Kufar Par iSLAM Ke Zoor Azmai Daikh Lay •

• Keh Rahe The Logon Se Run Mai QASiM Ke Wo Jang •
• SuLah Dekhi The HASSAN_a.s Ke Ab Larai Daikh Lay •












  Tohfa Hasee'n Pa K Bohut Khush Hy MUJTABA •
• Nazuk Badan GuLab Sa Beta Aata Hua •
• RAB K Huzur Mangi The SHABBAR Ne Ek Dua •
• AuLad Kar Aata K Jo Ho MisL'e Ba-Wafa •

• Lo Us Dua Ka Aaj Samar Ban K Aa Geya •
• QASiM Ka Noor Aaj Zame'n Par Hy Chha Geya •












Ye PHOOL* jo Mehka hy GuListan'e HASAN-as Me

Mehky Ga Ye ta-hasar Ab Ema'n k Chaman Me

2no hen FUN'e jang Me ABAS-as K Shagird

kuch FarQ Nhi AKBER'o QASiM-as K ChaLan Me

Chehry Se Numaya'n hen Sab Andaz ALi-as k

HYDER-as ki TajjaLLi hy Ye Aaghosh'e HASAN-as Me



























• Ho Mubarak Aaj Farzand'e HASSAN Paida Howay •
• Ban K Noor'e PANJATAN Ye GuL Badan Paida Howay •

• MisLay Zarba'e HAiDERY Pakaray BaTiL Kay Liye •
• Tegh Ban Kar Jis Ka Har Azo'e Badan Paida Howay •

• Nusrat'e Dee'n Main Lutanay Ko Mata Jaan-O-Tan •
• UMM'e FARWA'N Ka Wo GuL Perahan Paida Howay •








 Umm-e-Farwa (s.a) k chand zinda bad,
Tery rukh per shikan nahi dekhi,

Aa k dekhy wo Hamla-e-Qasim (a.s),
Jis ne Jang-e-Hassan (a.s) nahi dekhi.
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
7 Shaban ko puch Tarikh se Ghar me Shabbar(AS) k ek paak zaat agyi,
Farsh pe Ghar Ali(AS) ka kuch aysa saja, Arsh walo ki kul kainaat agyi,
Suna Suna sa Ghar Sona Sona hua, Khud Jabeen Raiz hone Hayat agyi,
Is Haseen shab me Qasim(AS) ki amad hui, Khuld taqseem hone ki raat agyi,
Gulshan-e-Panjtan(AS) pe Bahar agayi, ye Haseen ban k Husan-e-Chaman agaya,
Le ke Hathon par Shabbir(AS) khene Lage,Lo meri karbala ka Hassan(AS) agaya.

0 comments: