27 August 2009

SMS on Shahzada Ali Akbar (A.S)



SIBTAY PAIGAMBAR KO HASIL YE SAADAT HOGAYI,

GHAR MAIN HUM SHAKAL-E- PAYAMBR KI WILADAT HOGAYI, 

MIL GAI SHABEER(A.S) KO EK WAQT MAIN DOHRI KHUSHI,

BETAY KA DEEDAR NANA(PBUH) KI ZIYARAT HOGAYI.









“Girtay huay ye keh ke Shah e behr o ber (A.S) chalay,
Daaman dareeda, khak ba sar, noha ger chalay,
Zainab pukari duorhi say Shah (A.S), kidher chalay?
Murh ker kaha uthanay ko lash e pìsar chalay. "
 Faryad hay Ali (A.S) ki, duhaee Batool (S.A) ki,
Tasweer zalimon nay mita dee Rasool (S.A.W.W.A) ki.”





"Akbar (A.S) shabab-e-husn-e-Payambar (S.A.W.W.A) ka naam hai,
Akbar (A.S) jalaal-e-jazba-e-Haidar (A.S) ka naam hai,
Akbar (A.S) arooj-e-mehr-e-munawwar ka naam hai,
Akbar (A.S) Hussainiyat (A.S) kay muqaddar ka naam hai;
Fursat milay, tau poochh, bashar kay sakoon se,
|Islam sur-khroo hua Akbar (A.S) kay khoon se."





"Laila (S.A) kay ghar mein, doston, jashn-e-nuzool hai,
Aaghosh mein Hussain (A.S) ki chhota Rasool (S.A.W.W.A) hai."





"Ye Mustafa (S.A.W.W.A) nay khwaab mein Shabbeer (A.S) se kaha,
Ya'ani Quraan-e-Paak nay Tafseer se kaha,
Rooh nay Badan se, Loh nay Tahreer se kaha,
Deen-e-Khuda nay Deen ki Taqdeer se kehe;
Kyun hain udaasiyaan mairay maz'har ki shakl mein,
Mein aa raha hoon phir, Ali Akbar (A.S) ki shakl mein."





"Dasht-e-Bala mein gumm Ali Akbar (A.S) ki laash hai,
Farzand-e-Fatima (S.A) ko pisar ki talaash hai,
Zakhm-e-jigar pay naakhun-e-ghum ki kharaash hai,
Sang-e-alam say sheesha-e-dil paash, paash hai;
Bano (S.A) ko ghum hai, Ahl-e-haram dard-mand hain,
Hay, hay pisar, ki ghar mein sadaaen buland hain."





"Aye Arz-e-Karbala, mera dilbar kidhar gya,
Aye Dasht-e-Nainawa, mah-e-anwar kidhar gya,
Maqtal mein Hum-Shabeeh-e-Payambar (A.S) kidhar gya,
Aye nehr-e-Alqama, Ali Akbar (A.S) kidhar gya;
Nikla hoon mein jawan pisar ki talaash ko,
Batla mujhay meray dur-e-yakta ki laash ko."






"Shabbeer (a.s) ko wirasat-e-Khair-ul-Wara (s.a.w.w.a) mili,
Abbas (a.s) ko shuja'at-e-Sher-e-Khuda (a.s) mili,
Qasim (a.s) ko azmat-e-Hasan-e-Mujtaba (a.s) mili,
Iss ghar mein sab ko shaan, Khuda say, juda mili; 
Zainab (s.a) nay paya rutba-e-a'ala Batool (s.a) ka,
Akbar (a.s) ko mil gya hai sarapa Rasool (s.a.w.w.a) ka."

0 comments: