26 August 2009

SMS on Shahzadi e Konain, Janab e Zehra (S.A)





Mariyam se bhi Batool ko rutba siwa mila
Baba ussey Rasool sa khair ul wara mila
Baita her ik shaheed-e-rah-e-kibriya mila
Shauher mila tou khalq ka mushkil kusha mila
her aik apnay mertabay mein intekhaab hai
Zehra hain bemisaal Ali lajawaab hai











Tazkira Fatima Zahra Ka Zara Ho Jay
Kia Haqiqat Hai Zamany Ko Bayan Ho Jay
Us Se Allah-o-Nabi Ho Nahi Sakty Razi
Jis Se Shahzadi-e-Konain Khafa Ho Jay





YA RAB MERA HAR LAFZ SHOLA AEISA BANADAY........

JO MUNKIR-E-ZAHRA(A.S) KAY KALAYJON KO JALADAY........

Or WO LAANTI HAI JISSAY KAY RAZI NAHI ZAHRA(A.S).......

Laakh Os Ko zamana RAZI ALLAH banaday.............










Dar-e-Zehar Sa Koi Or Dar Dhond K La!
Duniya Main Nahi Milta Tu Jannat Se Dhondh K La!
Fakhar Hai Humain K Hum Is Dar K Ghulam Hain!
Tu Hum Jaisa Kisi Or Ka Moqadar Dhondh Kai La!













Jo waja-e-khilqat-e-zaat-e-Ra
sool (saw) hoti hai
Dua, usi ki dua se qubool hotia hai
Ye baat hum ne suni hai zabaan-e-Ahmed (saw) se
Jo apne baap ki maa'n ho Butool hoti hai







Agarcha farsh nashein thi falak bhi de deti
Ye bagh kia hai wo jannat talak bhi de deti
Samajh sakay na musalmaan Binte Ahmed ko
Sawal kartay to Zehra Fiddak bhi de deti








“Falak pe chand Muharram ka ho gaya zahir,
Janab e Fatima Zehra (s.a) ko ye batana hai;
Tumharay Laal ke hum sogwar hen Bibi,
Tumharay zakhm pe marham humen lagana hai.”












Agar kisi dil mein bughz-e-Haider (a.s.) ki dhool hogi
To phir har aqeeday ki har ada be-usool ho gi
Agar kisi se baroz-e-mehshar khafa ho gi Nabi (SAW) ki Beti (a.s.)
To phir bahisht-e-baree`n ki khuahish fuzool hogi














“Ho tau jaön mäin musalman mager ek gham hai:
Ho na jaon kahin rastay ko bhulanay wala.
Sun bhi rakha hai, kitabon main perha hai mäin ne.
Ek musalman tha Zehra (S.A) ko rulanay wala.
(These Are The Feelings Of An Indian Non Muslim Poet Göpi)












“Ye majlis-e-Shabbir (A.S) men niklay huay aansu,
Firdos ke baaghon men saja deti hen Zehra (S.A);
Shehzadi (S.A) zameen par inhen girnay nahin daiteen,
Bach jayen tau Kausar men mila deti hen Zehra (S.A).”













“Waisay kafu Batool (S.A) ka Kana’an mein bhi na tha,
Juz Buturab (A.S), aalam e imkan mein bhi na tha;
Is se barha milaap to Quran mein bhi na tha,
Aisa khushi ka mauqa kisi aan mein bhi na tha.
Ashab e Hal Ata (A.S) ko ye sa’at saeed thee,
Zehra (S.A) ke sogwar gharanay ki eid thee.”













“Chalo salam karain uskay aastanay ko,
Hussain (A.S) jiss ne diya paal ke, zamanay ko.”










“Arey o baghey Fidak chheen k khanay walon,
Dono aalam men na tum logon ka ghata hota;
Bheek men BINT E NABI (S.A) tum ko Fidak de deteen,
Haath phela ke jo tehzeeb se maanga hota.”









“Quran ke warison ki ye pehchan bangai,
Nikli jo baat munh se wo Quran bangai;
Hukm e Khuda se choomay qadam Syeda (S.A) ke jab,
Banjar zameen Arab ki gulistan bangai;
Chashm e falak gawah hai waqt e Mubahila,
Zehra (S.A) lab e Rasool (S.A.W.W.A) ki muskan bangai;
Farsh e ghum e Hussain (A.S) ki taaseer dekhiye,
Zehra (S.A) ghareeb khanay pe mehman bangai;
Utri thi jo Kitab Khuda k Rasool (S.A.W.W.A) pe,
Zehra (S.A) ussi Kitab ka unwan bangai.”








“Ye "Fay" se Fehm-e-Bashar ka hasil,
"Alif" se Alhamd ki kiran hai,
Ye "Toyain" se Taha (S.A.W.W.A) ke ghar ki ronaq,
Ye "Meem" se Manzil-e-Mahann hai,
Ye "Hey" se har Dosira ke Sultan ke Deen ki Purnoor Anjuman hai,
Ye "Zey" se Zeenat Zameen ki hai,
Ye "Hey" se Hidayatoan ka Chaman hai,
Ye "Rey" se Rehber Rah e Wafa ki,
"Alif" se Awwal Nasab hai iska,
Isi liay naam Fatima (S.A) hai, Janab-e-Zehra (S.A) laqab hai in ka.”









“Makhlooq kay Sultan (S.A.W.W.A) ki taskeen hai Zehra (S.A),
Yaseen bhi kehti hai kay Yaseen hai Zehra (S.A);
Islam ne Zehra (S.A) ki fazeelat mein kaha hai,
Mein Deen-e-Muhammad (S.A.W.W.A) hun, mera deen hai Zehra (S.A).”









"Jis ko Zehra (S.A) teri pehchan nahin hai,
Wo bashr saheb-e-eeman nahin hai;
Us ki bakhshish ka tau imkan nahin hai."











"Bagh-e-Fidak bhi chheen lia aur mukar geye,
Mimbar Ali (A.S) ka chheen lia aur mukar geye,
Maula Hasan (A.S) ko zehr dia aur mukar geye,
Zainab (S.A) k ghar ko loot lia aur mukar geye;
Rotay hain hum is lye shor-o-shain say,
Kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain (A.S) say."










"Takmeel-e-naqsh-e-Panjitan (A.S) ko ibtida hui,
Noor-e-Nabi (S.A.W.W.A) ki pehli kiran hai ayaan hui;
Ik silsila-e-noor chala arsh ta ba farsh,
Zahir Nabi (S.A.W.W.A) kay ghar mein hain jab Fatima (S.A) hui."









"Raazia (S.A), Marzia (S.A), Batool (S.A)hain aap,
Aap Siddiqa (S.A), Tahira (S.A), Zehra (S.A);
Aaj ka jashn aap say hai mansoob,
Aaj har lab pay hai sada: Zehra (S.A)."









"Zehra (S.A), teri jageer hai Jannat bhi, Fidak bhi,
Ye jabal, ye ashjar, ye paani bhi, falak bhi,
Shauhar ki taraf say hain ghulami mein Malak bhi,
Bibi (S.A), teray haq mehr mein shaamil hai namak bhi;
Bus teri zameenon pay busi jati hai duniya,
Sadiyon say faqat tera namak khati hai duniya."








"Batool (S.A), hum tera kia ehteraam kartay hain,
Ye haq ada tau Rasool-e-Anaam (S.A.W.W.A) kartay hain;
Zamanay walay tera ehteraam kion na karain?
Tujhay Rasool (S.A.W.W.A) bhi utn kar salam kartay hain."













"Khush rahain mehfil-e-Meelad mananay walay,
Apnay ghar Fatima Zehra (S.A) ko bulanay walay."










"Baba (S.A.W.W.A) ko rotay, rotay jo Zehra (S.A)guzar geyee,
Ghul parh gaya kay Bint-e-Nabi (S.A.W.W.A) kooch kar geyee;
Faaqon kay ranj seh kay huzoor-e-pidar geyee,
Mahboob-e-Kibriya (S.A.W.W.A) ki azadar mar geyee."










"Teri Zehra (S.A) ko zamanay nay sataya, Baba,
Ba'ad teray na dia chein say rehnay mujh ko;
Jo sitam mein nay sehay, kesay bataoon, Baba,
Na dia haq bhi mujhay, darr bhi giraya, Baba."











"Jis ko ye zehn pa na sakay, wo Batool (S.A) hain,
Jis darr pay Jibra'eel jhukay, wo Batool (S.A) hain;
Baitay tau maan kay darr pay rukay hain jahan mein:
Par jis kay darr pay baap rukay, wo Batool (S.A) hain."










"Tat'heer, Fatima (S.A) ki tabiyat ka naam hai,
Islam shahzadi (S.A) ki seerat ka naam hai,
Tasbeeh qurb-e-Haq ki alaamat ka naam hai,
Zehra (S.A) Zaboor-e-wird ki aayat ka naam hai;
Ghum mein sipar hain Faateh-e-Badr-o-Hunain (A.S) ki,
Ma'yaar-e-sabr ye hai kay maan hain Hussain (A.S) ki."








"Sitam ki ho geyee ye intiha Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad,
Chali hain Fatima (S.A) haq mangnay Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad;
Rasool-zadi (S.A) kharhi kion rahi sar-e-darbaar,
Ye kaun takht pay betha raha Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad;
Shaheed ho gaya us ki hi zarb say Mohsin (A.S),
Darr-e-Batool (S.A) giraya gaya Rasool (S.A.W.W.AA) kay ba'ad;
Wo ja kay shehr say baher pidar ko roti rahi,
Kisi nay ghar mein na ronay dia Rasool (S.A.W.W.A) kay ba'ad."









"Jahil ko kabhi aalim-e-Qura'an nahin kehtay,
Ghasib ko kabhi deen ka sultan nahin kehtay;
Haji ho, namazi ho, ya phir ho koi aur,
Hum dushman-e-Zehra (S.A) ko musalman nahin kehtay."










"Kisi say poochho zamanay mein kaheen hai insaaf?
Aisa lagta hai kay duniya mein naheen hai insaaf;
Hai isi say tau adaalat ka libaas ab bhi siyaah,
Haq-e-Zehra (S.A) kay liye soag-nasheen hai insaaf."










"Wo jis dar pay farishtay sar jhukatay thay,
Aaj ahl-e-Saqeefa nay wo dar hi gira dia;
Wo jis ko Rasool (s.a.w.a) jaan say ziyada azeez rakhtay thay,
Aaj usi Bibi (s.a) pay darwaza gira dia."










"Naa'gaah Fatima (s.a) nay kia khuld ka safar,
Ronay lagey Wasi (a.s) -e-Payambar (s.a.w.a) jhuka kay sar;
Shor-o-fughaan mein doob gya Fatima (s.a) ka ghar,
Fizza (r.a) pukari paa'on kay talwon ko choom kar;
Shehzadi-e-Konain (s.a), meri makhdooma; alwida!
Ismat ki rooh, Sabira, Mazlooma; alwida!"












"I'brat ki ek daleel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a),
Iblees ka wakeel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a);
Usko kisi madad ki zarurat nahin, Raza,
La'anat mein khud kafeel hai, gustaakh-e-Fatima (s.a)."










"Darr say lagi wo kehti thi aansu baha, baha,
Kyun ghar mera jalatay ho, mein nay kya hai kia?
Ek shakhs nay sitam yeh kya, waa museebata!
Darawaza laat maar kar us par gira dia;
Pehlu pay aayi zarb jo Bint (s.a) -e-Rasool (s.a.w.a) kay,
Mohsin (a.s) hua shaheed, shikam mein Batool (s.a) kay."











"Jis ki tauqeer pay Quran nay qasam khaayi hai,
Roti darbar say chup chaap chali aayi hai;
Baat wirsay ki nahin, dukh hai mujhay ye Baba,
Teri tehreer musalmaanon nay jhuttlaayi hai."











"Quran-e-Mustafa (s.a.w.a) ki haqeeqat hain Fatima (s.a),
Mai'raj mein jo utri, wo ayat hain Fatima (s.a);
Hain a'alemeen kay liyay rehmat Rasool-e-Paak (s.a.w.a),
Aur khud Rasool (s.a.w.a) kay liyay rehmat hain Fatima (s.a);
Hasnain (a.s) maa kay qadmon mein bethay hain iss liyay:
Jannat kay Shaahzadon (a.s) ki Jannat hain Fatima (s.a)."












"Haya ki devi, wafa ki ayat, hijab ki salsabeel, Zehra (s.a),
Kaheen hai ma'soomiyat ka saahil, kaheen sharafat ki jheel Zehra (s.a),
Jahan-e-maujood mein bani hai wajood-e-Haq ki daleel, Zehra (s.a),
Zamanay bhar ki a'dalaton mein nisa ki pehli wakeel Zehra (s.a);
Hazoor-e-Zehra (s.a) bashar say hatt kay, Payambaron (a.s) kay salam bhi hain,
Kay iss kay saaye mein palnay walay Hussain (a.s) jesay imam bhi hain."













"Honton pay meray har dumm, mid'hat hai Syeda (s.a) ki,
Jo dil mein buss gyi hai, ulfat hai Syeda (s.a) ki;
Kyun maangtay ho darr-darr? Jao Ali (a.s) kay darr par,
Saayil ki jholi bharna, aadat hai Syeda (s.a) ki;
Jo rizq kha rahay ho,sadqa hai Panjtan (a.s) ka,
Ehsan maano, yeh bhi naimat hai Syeda (s.a) ki."











"Khalq mein Syeda (s.a) ki aamad hai,
Dukhtar-e-Mustafa (s.a.w.a) ki aamad hai;
Shor-e-Sall-e-A'al hai duniya mein:
Bint-e-Khair-ul-Wara (s.a.w.a) ki aamad hai."




0 comments: