26 August 2009

SMS on Sayyed-ush-Shuhda Imam Hussain (A.S)















" Sadaqaton Ki Nishani Hussain a.s Hay ,
Duniya Me Inqilab Ka Bani Hussaina.s Hy... ,
Dushman Ko Jis Nay Apney Lahoo Say Shikast Di ,
Woh Mard E Haq Woh Haider a.s E Sani Hussain Hay
"



















Shaor-e-Subh-e-Azal ko Hussain Kehte Hain,
Amal k Husn-e-Amal ko Hussain Kehte Hain,

Hussain-o-Minni pe ruk Mat Minal Hussain bhi parh,
Rasool Apne he kal ko Hussain Kehte Hain.






















LAY K DASTOOR-E-AMAL EMAN KA,

CHAND NIKLA TEESRI SHABAN KA,

FATIMA ZEHRA (s.a) TUMHARI GOUD MAIN,

HAY BADAL YE SURA-E-REHMAN KA





















" SHAMSHEER SE MOLA NE KAHA CHAL MAGER AESAY,

HO KHYBER-O-KHANDAK MAIN BHI HAL CHAL MAGER AESAY,

IS MAIDAAN MAIN RAHAY MOUT KI JAL THAL MAGER AESAY,

IS DASHT MAIN RAHAY KHOON KI DALDAL MAGER AESAY,

TU JIS PE UTAR GAI MAIN US KA WALI HON,

  WO SIRF ALI(A.S) THA MAIN HUSSAIN IBN-E-ALI(A.S) HON "























Wo jis ne apny Na Na ka wada wafa kar dia

Ghar ka ghar supard-e-KHUDA kar dia

Nosh kar lia jis ne shahadat ka jaam

Us "Hussain Ibne-Ali" par lakhon salam





















Raahib se Poochye kbi Fitras se poochye
Kashti Bhanwar mein ho to Kinara Hussain(as) Hay
Haidar(as) ka Aftab hai Zehra(sa) ka Maahtab
Hurr(as) ke naseeb ka to sitara Hussain(as) Hay
Ye Phool teesra hai Imamat ki Shaakh par
 Jis ko Nabi(saww) parhein w...o Sipara Hussain(as) Hay
 Taa Hashr ye Khayal mere Dil ka Chain hai...
“Mohsin” Meri Najaat ka Zaamin Hussain(as) Hay





















Zindagi ka Wajood in 4 Anasir pr hai.
Pani, Aag, Hawa, Mitti

PANI Gham-e-HUSSAIN Mai Behne ka hai Sabab,
Karte hain Log AAG pe Matam Basad Adab,
Nohay ki har Sada pe HAWAIEN hain Muztarab,
Farsh-e-Aza bhi KHAK pe Bichta hai Roz-o-Shab,
Chaaron pe Raj hai tu SHAH-E-MASHRQAIN ka,
Dar Asal Zindagi pe hai Qabza HUSSAIN ka.
























"Lillah Bas Karo Na Satao Hussain(as)  Ko 
Tark-e-Namaz Se Na Rulao Hussain(as) Ko
Aashiq Ho Karbala k Namazon Se Door Ho
Jao Parho Namaz Manao Hussain(as) Ko.











Dasht-e-Bala Ko Arsh Ka Zeena Bana Diya
Jangal Ko Muhammad(saww) Ka Madina Bana Diya
Hr Zarry Ko Najaf Ka Nagina Bana Diya

Hussain(as) tm Ne Marny Ko Jeena Bana Diya













Kab Tha Pasand Rasool Ko Rona Hussain Ka 
Aaghosh-e-Fatima thi Bichona Hussain Ka 
Be Gor-o-Be Kafan Hy Qayamat Se Kam Nahi
Sehra Ki Garm Rait Pr Sona Hussain Ka












Gham-e-Hussain Ki Dilkash Fiza Me Rehta Hun
Is Bahany Me Karbala Me Rehta Hun
Labon Pe Rehti Hy Hr Waqt Mere Nad-e-Ali
Isi K Dam Se Dua Ki Rida Me Rehta Hun








"Falak Nashin Ne Diya Wo Kamal Mitti Ko
Shifa Bana Gaya Zehra Ka Laal Mitti Ko
Ye Janti Hai K Hum Log Bu-Turabi Hain
Paray Ga Rakhna Hamara Khayal Mitti Ko .








"Sayad-e-Aalam K Dil kA Chain Zinda Hai
Haidar-e-Karrar K Dil Ka Chain Zinda Hai
Kehdo Ye Zamane K Yazeedo Se
Parda-e-Ghaib Main Abhi Ek Imaam Zinda Hai.







Phota Tha Jo Kabhi Kisi Naize Ki Nook Sai!
Har Ehaid Par Maheet Wahi Inqilab Hai!
Har Dour Main Hussain(A.S)Nai Sabit  Ye Kar Dia!
Har Dour K Yazeed (Lanat) Ka Khana Kharab Hai!





Zinda rehne ke liye SHAH ki aza kafi hai,
humko bas Fatima Zehra(a.s) ki dua kafi hai,
chahe kitni he mukhalif ho zamane ki hawa,
humko Abbas(a.s) ke parcham ki hawa kafi hai








Azeem Tha Azeem Hai Azeem Tar Hai Ya Hussain(A.S)
Khudae Pak Ki Nazar Teri Nazar Hai Ya Hussain(A.S)
Yeh DilBhi Tera Dil Nahi Khuda Ka Ghar Hai Ya Hussain(A.S)
Wahan Wahan Azaan Hai Jidhar Jidhar Hai Ya Hussain(A.S)......................
Sina Ki Nok Par Buland Zindagee Ko Kar Di Azem Kaam Kr Diya
Salam Ya Hussain Salam Ya Hussain(A.S)........................................







Taqat Matam-e-Shabir Se La Ilm Hai Tu!
Ye Wo Jado Hai Jo Aag Pr Bhi Chal Jta Ha!
Jis Dum Krte Hain Mawali Aag Par Matam !
Un Ko Kuch Nahi Hota Or Tu Jal Jta Hai!










“Ankhon k sahilon pe jo ashkon ka hai hujoom.
Shayed ghum-e-Hussain (A.S) ka mausam qareeb hai.”









“Na pooch kesay koi Shah-e-Mashriqain (A.S) bana,
Ali (A.S) ka noor, Fatima (S.A) ka noor-e-ain bana;
Khoon-e-Ali (A.S), lu’aab-e-Rasool (S.A.W.W.A), sheer e Batool (S.A),
Milay hain jab ye anaasir tau phir Hussain (A.S) bana.”








“Rah e mid'hat mein yahan dil bhi lahu hota hai;
Chaak dil teri mawaddat se rafu hota hai.
Sach tau ye hai ke dilon ki taharat ke lye,
Zikr e Shabbir mein ashkon se wuzu hota hai.”








“Batil ko maujza ye dikhaya HUSSAIN (A.S) ne;
Nok e sina'n pe QURAN sunaya HUSSAIN (A.S) ne.
Angan ke saray PHOOL hen maqtal men rakh dye;
Maqtal ko is tarah sjaya HUSSAIN (A.S) ne.
Darya pe pehray aur 72 ka sath tha,
Phir bhi na qadam peechhay hataya HUSSAIN (A.S) ne.”










“Gali Gali men usi ka Parcham, Usi ka sajda jabin jabin pe
Qadm qadm pe sabil uski, nazr nazr men wohi makeen hai
Hawa hawa men usi k nohay, wohi tasawwur khila-nashin hai
Falak falak pe lahoo usi ka,
Usi ki majlis zameen zameen hai;
Hussainyat ko mitanay walon, HUSSAINYAT ab kahan nahi hai?”









“Ali (A.S) ke laal, Payamber (S.A.W.W.A) ke chain zindabad,
Janab e Fatima (S.A) k noor e ain zindabad,
Hai jiska paak lahu bus wohi pukaray ga,
Har aik keh nahin sakta: HUSSAIN (A.S) Zindabad.”





“Phir aaj Haq ke liye jaan fida karay koi,
Wafa b jhoom uthay yun wafa karay koi;
Namaz 1400 salon se intizar mein hai,
HUSSAIN (A.S) ki tarah mujhko ada karay koi.”








“Baiyat ya sar, yehi taqaza tha Yazid ka,
Hussain (A.S) ne usay bhi mayoos nahin kya,
Baiyat na ki Hussain (A.S) ne, sar apna de dia,
Is dar say tu Yazid b khali nahin gaya.”










“Hussain-ibn-e-Ali (A.S) ki niaz jari hai,
Abhi tau deen ki umr-e-daraz jari hai;
Sajday men rakh ke sar ko na uthaya HUSSAIN (A.S) ne
Meray HUSSAIN (A.S) ki ab tak namaz jari hai.”





“Munh se ek baar jo laga letay Mola (A.S) paani,
Dasht e ghurbat men na yo thokarain khata paani,
Kon kheta ha pani ko tarste tha Hussain (A.S),
Un ke honton ko tarsta raha pyasa paani.”












“Ye log Hussain (A.S) ka ghum kion nahin kartay,
Dum Aal-e-Muhammad (A.S) ka har dum nahin bhartay;
Maloom hua Hafiz-e-na-cheez ko ye raaz,
Qatil kabhi maqtool ka matam nahin kartay.”





“Ishq ki ibtiada hai HUSSAIN (A.S),
Dard ki intaha hai HUSSAIN (A.S);
Jo mangnay se pehlay ho jaye qabööl,
Wo MUHAMMAD (S.A.W.W.A) ki dua hai HUSSAIN (A.S).”




“HUSSAIN (A.S) ne zikr-e-Khuda ko a’ala bana dia,
Benaam thi Karbala, usay mu’alla bana dia;
Socho k kitna pakeeza hai khoon-e-HUSSAIN (A.S),
Jab gira tau khaak-e-shifa bana dia.”







“Ankhon men jagta hai sada ghum Hussain (A.S) ka,
Seenay mein saans leta hai matam Hussain (A.S) ka;
Matti mein mil gaye hain iraaday Yazid ke,
Lahra raha hai aaj bhi parcham Hussain (A.S) ka.”












“Hazaar sajday zameen-e-Haram pe hon lekin,
Husool rooh-e-ibadat nahin tau kuch bhi nahin;
Bata diya hai Nabi (S.A.W.W.A) ke taveel sajday ne,
HUSSAIN (A.S) teri mohabbat nahin tau kuch bhi nahin.”















“Batil ko haq se, khair ko shar se juda kia,
Zulmat ko din se, shab ko sehar se juda kia;
Yun kufr o deen ko taigh e do sar se juda kia,
Goya kalaf ko roo ay Qamar se juda kia.
Is dabdabay se zair kia Room o Sham ko,
Hukm e Jehad phir na hua nau (9) Imam ko.”












“Takhleeq-e-Kirdgar ko dekha hai baariha,
Shabbir (A.S) inteha hai Khuda k kamal ki;
Jab tak Khuda rahay ga, rahay gi Husainiat,
Kitni daraz umr hai Zehra (S.A) ke lal ki.”










“Idhar lia naam, udhar aankh hui num,
Paani ko kitna pyar hai ab bhi HUSSAIN (A.S) se.”











“Daana, daana meray HUSSAIN (A.S) ka hai,
Sara zamana meray HUSSAIN (A.S) ka hai;
Jo badalta hai sab ki taqdeerain,
Woh gharana meray HUSSAIN (A.S) ka hai.”













“Jahan men tazkira sham o sehar HUSSAIN (A.S) ka hai,
Zamana dekh ley kitna asar HUSSAIN (A.S) ka hai;
Hai Karbala jo 72 gulon ka guldasta,
Isay sajaanay men saara hunar HUSSAIN (A.S) ka hai.”










“Sar e Hussain (A.S) gaya Shaam men jo waqt e sehar,
Hua ye shor k naizay pe aftab aya;
Falak pe shor tha ponhche jo Karbala men Hussain (A.S),
Ab apni khak pe Farzand e Bu Turab (A.S) aya.”








“Makkah HUSSAIN (A.S) se hai, Madina HUSSAIN (A.S) se,
Quran hai HUSSAIN (A.S) se, Kaaba HUSSAIN (A.S) se;
Qayim hai ye Namaz, ye Roza HUSSAIN (A.S) se,
Baqi hai LA ILAHA ka kalma Hussain (A.S) se.”
“Deen ka sultan Hussain Ibn-e-Ali (A.S) hai,
Ik bolta Quran Hussain Ibn-e-Ali (A.S) hai;
Maana ke muslman ki pehchan hai kalma,
Aur kalmay ki pehchan Hussain Ibn-e-Ali (A.S) hai.”










“Kull Anbiya ki wafa ko HUSSAIN (A.S) kehte hain,
KHUDA ki khas adaa ko HUSSAIN (A.S) kehte hain;
Bacha ke deen-e-KHUDA jo KHUDA ki laaj rakhay,
Zaban-e-ishq main uss ko HUSSAIN (A.S) kehte hain.”









“Shabbir (A.S), tu ne dard ka aiwan saja dia,
Sehra ko mislay arsh e mu’allah bana dia;
Tujh par namaz khatm hai aye deen ke tajdar,
Teron pe tu nay apna musallah bichadiya.”












“Deen-e-Khuda k waste sar bhi kata dia,
Nam-e-Hussain (A.S) shoq-e-shahdat ka nam hai;
Aaj Karbala mein 72 ka hai chehlum,
Ye Hussain Ibne Ali (A.S) ki qarbanion ka naam hai.”













“Kya jalwa Karbala mein dikhaya HUSSAIN (A.S) ne,
Sajday mein jaa ke sar ko kataya HUSSAIN (A.S) ne;
Khush bakht HURR (R.A) tha aap k qadmo mein jaa giraa,
Soya naseeb us ka jagaya HUSSAIN (A.S) ne;
Nezay pe sar tha aur zaban per thi aaytein,
Quran is tarah bhi sunaya HUSSAIN (A.S) ne.”












“Nigah-e-Ahl-e-Baseerat mein ba wiqar raha,
Tu khaak-o-khoon mein naha kar bhi kaamgaar raha;
Hussain (A.S), chhaon mein betha hun mein teray ghum ki,
Tu wo shajr hai jo kut kar bhi saya daar raha.”










"Hum badal letay hain ghum apna ghum-e-Shabbeer (A.S) se,
Ponchhtay hain apnay aansu chaadar-e-Tat'heer se."










"Aaya dukhon mein jab kabhi Shabbir (A.S) ka khayal,
Shikwa tarhap kay shukr mein tabdeel ho gaya;
Har ghum mein Karbala ne sahara dia humain,
Har ghum, ghum-e-Hussain (A.S) mein tehleel ho gaya."










"Chalo, Hussain (A.S) ki taqleed bhi karay koi,
Kay sirf soag mananay say kuch nahin hoga;
Utho kay hum bhi jhuka dain kisi Yazeed ka sar,
Lahoo kay ashk bahanay say kuch nahin hoga."












"Na cheez hun mein, qaabil-e-tauqeer nahin,
Taqreer meri layeq-e-tehreer nahin;
Kafir kaho, mushrik kaho, jo kehna hai keh do,
Hindu hun magar dushman-e-Shabbeer (A.S) nahin."
(Sentiments of a Hindu poet: Gopi Nath)












"Mera Hussain (A.S) baagh-e-Nabowwat ka phool hai,
Haidar (A.S) ki is mein jaan hai, khoon-e-Batool (S.A) hai;
Kitni azeem zaat hai Maula Hussain (A.S) ki,
Jis kay lye Rasool (S.A.W.W.A) kay sajdon mein tool hai;
Duniya mein aur kaun hai Shabbeer (A.S) kay siwa,
Aisa sawaar jis ki sawaari Rasool (S.A.W.W.A) hai;
Guzra jahaan, jahaan say Nawaasa Rasool (S.A.W.W.A) ka,
Ab tak wahan Khuda kay karam ka nazool hai;
Jis kay liyay Yazeed nay itnay sitam kiyay,
Woh takht tau Hussain (A.S) kay qadmon ki dhool hai."










"Tareekh ki boorh'ri aankhon ne
Is dasht-e-bala ki garmi mein
Ik shakhs ko baithay dekha hai,
Jo apnay khoon kay qatron say
Is rait kay zarray, zarray par
Kuch satrain likhta jata hai;
Phir garm hawa kay jhonkon say
Yeh zarray phailtay jatay hain,
Aur phail kay saari duniya mein
Ye No'-e-Bashar say kehtay hain:
Yun zulm ko roka jata hai,
Yun kufr ko toka jata hai.
Shabbeer (A.S) nay aa k Karbal mein,
Yeh sab logon ko batlaya:
Duniya kay Yazeedon ko duniya
Say yun hi mitaya jata hai."










"Jalwa-numa zamanay mein noor-e-Khuda hua,
Deen-e-Nabi (S.A.W.W.A) ko Deen ka Waaris a'ta hua;
Masoom (S.A.W.W.A) ki hai goad mein Masoom (A.S) is tarah:
Jaisay rakha ho rehl pay Quraan khula hua."












"Baghair-e-markaz-o-mehwar, zameen, tau kuch bhi naheen,
Wila-e-Aal (A.S) se khaali ho Deen, tau kuch bhi naheen;
Namaz-o-Roza-o-Hajj-o-Zakaat-o-Khums-o-Jihaad,
Hussain (A.S) hai, tau yeh sab hain, naheen tau kuch bhi naheen."












"Guzraa hai barchhiyon mein ibaadat guzaar kaun?
Maidaan-e-Karbala mein hua kaarsaaz kaun?
Masjid ki har deewaar se aati hai ye sadaa:
Daitay na sar Hussain (A.S) tau parhhta namaz kaun?"











"Woh jiska mansab hi tha Imamat,
tau uska lehja mateen hoga,
Khuda nay ma'soom jo banaya, 
woh esmaton ka ameen hoga;
Lu'aab-e-sarwar (S.A.W.W.A),
lahoo Ali (A.S) ka, 
Batool (S.A) ki gaud,
husn-e-Shabbar (A.S),
Yeh saari cheezain mila kay socho, 
Hussain (A.S) kitna haseen hoga."










"Ghuroor toot gya, koi martaba na mila,
Jafaa kay ba'ad bhi kuchh haasil-e-jafaa na mila;
Sar-e-Hussain (A.S) mila, haan, Yazeed ko, laikin,
Shikast yeh hai kay phir bhi jhuka hua na mila."










"Khoon se chiraagh Deen ka jalaya Hussain (A.S) ne,
Rasm-e-wafa ko khoob nibhaya Hussain (A.S) ne;
Khud ko tau aik boond bhi paani na mil saka,
Karb-o-Bala ko khoon pilaya Hussain (A.S) ne;
Aisay namaz kaun parh'hay ga jahaan mein?
Sajda kia tau sar na uthaaya Hussain (A.S) ne;
Sab kuchh Khuda ki raah mein qurban kar dia,
Asghar (A.S) sa phool bhi na bachaya Hussain (A.S) ne."











"Kausar kay Saaqi (S.A.W.W) ka woh naawaasa Hussain (A.S) tha,
Jab Karbala kay dasht mein piyaasa Hussain (A.S) tha;
Baadal Yazeediat kay jo phailay they chaar soo,
Un mein chamakta aik sitaara Hussain (A.S) tha."











"Hussain (A.S), teri a'taa ka chashma, dilon ka daaman bhigo raha hai,
Yeh aasmaan par udaas baadal teri mohabbat mein ro raha hai;
Saba bhi guzray jo Karbala say, tau us ko kehta hai Arsh Wala:
Tu aur dheeray guzar yahaan par, mera Hussain (A.S) so raha hai."










"Kabhi zameen say, kabhi a'rsh say salaam aaya,
Kabhi shahaadat-e-u'zma ka payaam aaya;
Khuda tau sabhi kay kaam aata hai,
Hussain (A.S) woh hai jo Khuda kay kaam aaya."












"Juhkana chaaha tha jis sar ko Shaam waalon nay,
Shikast daikhye, us sar ko khud utha kay chalay."












"Jab bhi kabhi zameer kay saoday ki baat ho,
Datt jaao tum Hussain (A.S) kay inkaar ki taraah."















"Haq ki sadaaqaton ki nishaani Hussain (A.S) hai,
Duniya mein inqilaab ka baani Hussain (A.S) hai;
Dushman ko jis nay apnay lahu say shikast di,
Wo Mard-e-Haq, wo Haidar-e-Sani (A.S) Hussain (A.S) hai."












"Nikla jo teer zulm-o-sitam ki kamaan say,
Utha Ali (A.S) ka Laal Payambar (S.A.W.W.A) ki shaan say;
Nok-e-sinaan pay kar kay tilaawat bata diya,
Quran bolta hai humari zabaan say."









"Insaan ki jabeen pay sitaaray saja diyay,
Zakhmon say phool Dasht-e-Bala mein khila diyay;
Nok-e-sinaan pay bol kar meray Hussain (A.S) nay,
Taareekh ki zabaan par hain taalay daal diyay."










"A'rfaa-o-a'ala hai gharana Hussain (A.S) ka,
Nabiyon ka taaj-daar hai Nana (S.A.W.W.A) Hussain (A.S) ka;
Bus aik hi pal ki thi hakumat Yazeed ki,
Sadiyaan Hussain (A.S) ki hain, zamaana Hussain (A.S) ka."










"Aaj Shabbeer (A.S) pay kiya a'alam-e-tanhaayi hai,
Zulm ki chaand pay Zehra (S.A) kay ghataa chhaayi hai,
Us taraf lashkar-e-a'ada mein saff-aaraayi hai,
Yaan na baita, na bhateeja, na koi bhai hai;
Barchhiyaan khaatay chalay jaatay hain talwaaron mein,
Maar lo piyaasay ko, hai shor sitam-gaaron mein."










"Ye keh kay la'eenon ko pukaaray Sheh-e-Abraar (A.S),
Lo aao kay ab myaan mein hum rakhtay hain talwaar,
Ye Asr ka hangaam hai, aye lashkar-e-kuffaar,
Qaatil say kaho taiz karay khanjar-e-khoon-khaar;
Talwaaron mein sajday kay liyay kood parhain ge,
Akbar (A.S) ki jawani ki qasam, ab na larhain ge."








"Hussain (A.S) lut kay bhi dono jahan ka maalik hai,
Batao lootnay walon kay haath kia aaya?
Yazeed, tu tau usi waqt jang haar gya,
Dar-e-Hussain (A.S) pay jis waqt Hur (R.A) chala aaya."





"Ye kaun mazloom hai kay jis ki jabeen lahu say damak rahi hai,
Barha andhera hai is kay ghar mein, bus ek shamma bharhak rahi hai,
Ye kis tarah kar raha hai sajda, Teri khudayi dharhak rahi hai,
Ye kaun mastoor hai jo is ki namaz hairat say tak rahi hai;
Adab say sar ko jhuka ley adam, Nabi (S.A.W.W.A) ka wo noor-e-a'in hoga,
Jo khaak pay kar raha hai sajda, wo keemiya-gar Hussain (A.S) hoga."






"Hussain (A.S) ab bhi samajh raha hai yazeediat kay sabhi ishaaray,
Hussain (A.S) ab bhi lahu say sairaab kar raha hai falak kinaray,
Hussain (A.S) ab bhi saja raha hai zameen pay shams-o-qamar, sitaray,
Hussain (A.S) abhi bhi badal raha hai sitam ki tughyaniyon kay dhaaray,
Hussain (A.S) abhi bhi suna raha hai sinaan pay Quran kay dard paaray,
Hussain (A.S) ab bhi sambhal sambhal kay bacha raha hai sabhi sahaaray,
Hussain (A.S) ab bhi luta raha hai Nabi (S.A.W.A) kay deen par sajal dulaaray,
Hussain (A.S) ab bhi yeh chaahta hai kay mushkilon mein koi pukaray;
Yazeedion ko yeh wehm kyun hai kay sirf ek din hisaab hoga?
Hussain (A.S) say jo jahan bhi uljhay, waheen pay khana kharab hoga!"





"Shahadaton ki fiza ko Hussain (a.s) jaantay hain,
Azl say Karb-o-bala ko Hussain (a.s) jaantay hain;
Jo maatami hai, usay Hussain (a.s) ki kia parwah,
Kay maatami ki ada ko Hussain (a.s) jaantay hain."








"Haroof ki roshnaayi lay kar, deeda-e-tarr say Hussain (a.s) likhna,
Tum esa karna, kitab-e-dil kay warq warq pay Hussain (a.s) likhna;
Haroof khushbu kay phool ban kar, tumharay seenay say khil uthain ge,
Tum esa karna kay apni aankhon say apnay dil par Hussain (a.s) likhna;
Tumharay taareek manzaron mein ujaalay phootain ge phool ban kar,
Tum esa karna kay apnay ghar mein darood parhh kar Hussain (a.s) likhna;
Yeh darakht saaray, yeh sab parinday, adab say sajda karain ge usko,
Tum esa karna kay in fiza'on ki jhaalaron pay Hussain (a.s) likhna;
Hussain (a.s) likhna, phir isko likhna, phir isko likh kar tum esa karna,
Kay aaj tak jo bhi likha ho, uska mehwar Hussain (a.s) likhna;
Agar kitaabat ka shoq ho tau kitab-e-sabr-o-raza mein, Mohsin,
Jahan shaheedon kay naam likhna, tau sab se ooper Hussain (a.s) likhna."









"Zindagi na-umeed ho jati,
But-parasti jadeed ho jati;
Sar na detay Hussain (a.s) ibn-e-Ali (a.s) agar,
Sari dunia Yazeed ho jati."










"Dhoop ki mauj mein sooraj ka bhi khoon milta hai,
Soag mein parcham-e-ehsas nigoon milta hai;
Haan, magar Ibn-e-Ali (a.s) aik shajar hai esa,
Jis kay saaye mein shriyat ko sukoon milta hai."










"Wo dil hi kia, jis mein samaya nahin Hussain (a.s),
Behtar wohi hai jis nay khoya nahin Hussain (a.s);
Keh do hawa say ja kar, ab shor na karay,
Madineh say Karbala tak soya nahin Hussain (a.s);
Mujh say meray Hussain (a.s) ka mat poochh hosla,
Kitnay hi zakhm khaaye, magar roya nahin Hussain (a.s)."












"Aaj bhi hai zamanay mein charcha Hussain (a.s) ka,
Chalta hai Kaainaat sikka Hussain (a.s) ka;
Hind mein agar aatay tau Bhagwaan kehtay hum,
Har Hindu naam pooja mein japta Hussain (a.s) ka;
Saahil say sar patakti piyaason ki yaad mein,
Lay, lay kay naam Ganga aur Jamna Hussain (a.s) ka;
Muslim tau parhhtay hain kalma Rasool (s.a.w.w.a) ka,
Hum Hindu'on nay parhh liya kalma Hussain (a.s) ka;
Saray jahan kay saamnay Hurr (r.a) ki misaal hai,
Chamkaata hai naseeb, ishaara Hussain (a.s) ka;
Ravan ki tarah mitt gya duniya say Yazeed,
Lekin dilon pay aaj bhi hai qabza Hussain (a.s) ka;
Jaye Singh, panah maangye naarag ki aag say,
Hindu tau hoon, magar hoon sheda Hussain (a.s) ka."












“Khayal-e-Khaaliq-e-Akbar ka hum-khayal Hussain (a.s),
Jissay zawaal nahin hai, wo laa-zawal Hussain (a.s),
Bashar kay roop mein Allah ka kamaal Hussain (a.s),
Dil-e-Rasool (s.a.w.a) ki dharhkan, Ali (a.s) ka laal Hussain (a.s);












Hussain (a.s) jesay kisi kay bhi waaldain nahin,
Haseen sab hain, magar koi bhi Hussain (a.s) nahin.
Samandaron nay kya jis ki tishnagi ko salam,
Namaz karti rahi jis ki bandagi ko salam,
Kya hai maut nay khud jis ki zindagi ko salam,
Zamana karta hai ab tak usi Jarri ko salam;
Hayat-o-maut kay saahil ko baant deta hai,
Hussain (a.s) taigh ko sheh-rug say kaat deta hai.
Yeh kaainat riyasat, raees hai Shabbeer (a.s),
Dabeer-e-ishq-e-Khuda ka Anees hai Shabbeer (a.s),
Nafas, nafas ki sada hai, nafees hai Shabbeer (a.s),
Qasam Habeeb ki, qismat navees hai Shabbee(a.s);
Khuda kay lehjay mein aksar kalaam karta hai,
Hussain (a.s), Hurr ko alaihis-salam karta hai...!”









"Hussain (a.s) ta-aabaad Haq ka numaayenda hai,
Yazeediyat tau har ek gaam pay sharminda hai;
Dhamaakay majlis-e-Shabbeer (a.s) mein jo kartay hain,
Unhain yaqeen hai, ab tak Hussain (a.s) zinda hai."











"Naam-e-Hussain (a.s) ki jis ko pehchan nahin,
Sach poocho, woh musalmaan nahin;
Mujh say kia poochtay ho shaan unki?
Kia tumharay ghar mein Quran nahin...?"











"Afzal hai kul jahan say zamana Hussain (a.s) ka,
Nabiyon (a.s) ka taaj-daar hai Nana (s.a.w.a) Hussain (a.s) ka;
Aik pal ki thi bus hakoomat Yazeed ki,
Sadiyan Hussain (a.s) ki hain, zamana Hussain (a.s) ka."










"Khushi ki rasm hui Mustafa (s.a.w.w.a) gharaanay mein,
Farishtay ho gye masroof ghar sajanay mein;
Chalo, chalo, darr-e-Zehra (s.a) pay tehniyat kay liyay,
Hussain (a.s) Ibn-e-Ali (a.s) aa gye zamanay mein."










"Yeh aitbaar meri zindagi ka haasil hai:
Ibadaton kay safar ki Hussain (a.s) manzil hai."









"Qismat-e-Raahib jo likhi Kaateb-e-Taqdeer nay,
Uss mein bhi tarmeem kardi Hazrat-e-Shabbeer (a.s) nay;
Jang karnay say faqat Abbas (a.s) ko roka nahin,
Hashr say pehlay qayamat rok li Shabbeer (a.s) nay."













Hussain (a.s.) paikar-e-Insaniyat kee jaan too hai,
Zameen-e-Sabr-o-Tahammul kaa Aasmaan too hai,
Na sirf deen-e-Muhammad (saw) kee Izzo-e-Shan too hai,
Rahe-e-Hayat mein Salar-e-Kaarwaan too hai,
Jahan ko Khawab-e-fana sey jagaa diya too ney
Baqa key wastey marnaa sikha diya too ney














Zabaan sey kartey ho dawa Hussainiat ka Agar
Dikhao kuch to Hussain-e-Shaheed (a.s.) key Johar
Sajo who asleha jin par fida ho Fath-o-Zafar
Sabat-e-Azm kee talwar lo, Haya kee Sipar


Jo Haidery ho to Himmat karo, Dilair bano
Barho, Na barh key hatoa, Barthey Jao, Shair bano













To hee hai zulm key panjay ko morhney wala,
Yazeediat kaa sare-nahas tornney wala,
Darindagan-e-Bala ko Janjhorney wala,
Musibataun kee kalai marorney wala
Pahaar sey bhi sabat-e-qadam ziyada tha
Dil-e-Hussain (a.s.) Thaa, Allah kaa Irada tha












"Lay kay dastoor-e-a'mal eemaan ka,
Chaand nikla teesri Sha'ban ka;
Fatima Zehra (s.a), tumhari goad mein,
Yeh badal hai Surah-e-Rehman ka."






0 comments: