“Khat de ke ye Muslim (A.S) se kaha Sheh (A.S) ne ke jao,
Yasrab to chhuta, Makkay se bhi hath uthao;
Ummat kaheen gumrah n'ho, kaam banao,
Talqueen karo, haal e bad o naik batao.
Hai rehm hi lazim jo ho baydad o sitam bhi.
Tum suay Bahisht aagay chalo, aatay hain hum bhi.”
“Qatil ne lagai sar-e Muslim (A.S) pe jo shamshir,
Sar kut k pukara mein fida-e sar-e-Shabbir (A.S);
Kothay se giraya jo tan-e-Muslim-e-dilgeer (A.S),
Ya Hyder-e-Karrar (A.S) kaha, aur kahi takbeer;
Qatray tau giray khoon ke damaan-e-Nabi (S.A.W.W.A) mein,
Sar goad mein Zehra (S.A) ki, tan aaghosh-e-Ali (A.S) mein.”
"Jab koofiyon nay Koofay mein Muslim (a.s) say dagha ki,
Jo ehd kia tha, ek nay us par na wafa ki;
Ki sharm Khuda say, na Muhammad say haya ki,
Mazloom pay, bekas pay, musafir pay jafa ki;
Pani na damm-e-marg dia tashna-dehn ko,
Kis zulm say tukhrhay kiya aawara-watan ko."
0 comments:
Post a Comment