Is raaz say waqif hain zamany wale,
Ab tak zinda hain Muhammad (s.a.w.w) k gharaney wale,
kuch mit gaye kuch mit jayenagy,
Ya Ali
TUM APNAY GHAR MEI AZA KHANA JAB SAJAOOO GAAY
JAZA RASOOL(S.A.W.W) SE IS KI ZAROOR PAOO GAAY ,
KHUDA B RAZI RAHAY GA . ALI(A.S) BHI OR MEI BHI
GHUM APNA BHOOL K ASHUOR JAB MANAO GAAY.
(HAZRAT BIBI FATIMA ZEHRA(S.A)
Mujrayi jab kay ahyan mahe aza hota hai,
chark**(asmaan)}* pay matame shah e shuda hota hai.
Rone Waloon ka bhi kiya rutba hai subhan Allah,
Jin kay ashkhoon ka kharidar Kuda hota hai(Mir Anees)
JAGAH JAGAH PE MAIN KARKE HUSSAIN KA MATAM,
MUSAFIRAT KO BHI APNA WATAN BANA LUNGA,
FARISHTE NAUHA PADHENGE KARUNGA MAIN MATAM,
LAHAD ME JAA KE BHI EK ANJUMAN BANA LUNGA.
Aey Ahl-e-Aza Aza K Din Aa Pohnchay
Gham Ki Ratain Aza K Din Aa Pohnchay
Faryad Hai K Fatima (sa) Ki Basti Ojri
Aabadiye Karb_o_Bala K Din Aa Pohnchay
EK AUR BARAS BEET GAYA OMR_E_RAWA KA
KUCH DAIR HISAB AAO KAREN SOOD_O_ZIYAN KA
SAB MIL K DUA MANGO NAEY SAL ME HAM KO
DEEDAR KARA DE KHUDA HADI-E-ZAMAN AS KA
KUCH DAIR HISAB AAO KAREN SOOD_O_ZIYAN KA
SAB MIL K DUA MANGO NAEY SAL ME HAM KO
DEEDAR KARA DE KHUDA HADI-E-ZAMAN AS KA
Hum 'ALI' walay hain. Sun lain yeh zamaney walay.
Raakh ho jayain gay khud hum ko mitaney walay.,
YA ALI keh k guzar jatay hain tufano se
PARCHAM-E-HAZRAT-E-ABBAS(AS) uthany walay.)
DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI,
YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?.
ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A.
HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI..
AAJ BHI SILSALA - E - KARBOBALA JARI HAI.
ISHQ E SHABIR KA IZHAR AZADARI HAI.
YEHI FESLA HAYE MEEZAN E AZAL KA AZADAR.
HAR IBADAT PE HUBB E ALI A.S BHARI HAI...
14 sadyon se aqeedy ka safar jari ha.
Zindagi ALAY-E-MOHAMMAD se wafadari hai.
Humko tasleem NAMAZON ki fazeelat laikin.
BINT-E-ZAHRA ki tammana yeh AZADARI hai.
Aisi Basi Alam me Alamdar ki Mehek !
Kaabay me Jese Haidar-e-Karrar ki Mehek !
Aa kar Meri Lehed me Farishton ne Ye Kaha !
Sab se Juda Hy Sheh k Azadar ki Mehek !
" KEHTIN HAIN ZEHRA SANI MJHE YUN NA SATAO,
YUN MAJLISAY SHABEER MAIN BUNTHAN K NA AAO,
AURO NAY SATAYA HAY MJHE TUM NA SATAO,
SHABEER K MATAM KO TAMASHA NA BANAO "
" AAEGI IMAM(A.S) KI AWAZ ZI HASHAM,
KABAY KI SIMT UTHNE LAGEGA HAR EK KADAM,
SEENO PE HATH HONGAY NIGAHON MAIN SB KI NUM,
GARENGAY SEHNAY KABA MAIN ABBAS(A.S) KA ALAM,
FARSH-E-AZA BICHAYGA SHAH-E-MASHRAQUAIN(A.S) KA,
BARPA KERAINGAY... KABAY MAIN MATAM HUSSAIN(A.S) KA.
MUJH KO BEHLOL SA DEWANA BANA DE YA RAB
KULL E EMAAN KA MASTANA BANA DE YA RAB
HAR JAGA MATAM E SHABIR A.S KI GOONJAY AWAZ
SARI DUNIYA KO AZA KHANA BANA DE YA RAB.
(ELLAHI AAMEEN)
" Dua "
"Aey Rabb-e-Kirdigaar"
Maalik Kia Hai tu Nay Jisay Mashraqain Ka
Lakht-e- Jigar Hai Fateh-e-Badr-o-Hunain Ka
Jis K Liy Hai GhulGhula Ye Shor-O-Shain Ka
Sadqa Janab-e-Fatima(sa) K Noor-e-Ain Ka
Samaan Shatab Kr De Mere Dil K Chain Ka
Parwardigar Wasta Khoon-e-Hussain(as) Ka.
Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab
Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi
Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain
Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi
Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De
"Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main.
ALI A.S k Ishq ma aisa kalaam kar donga,
Jo kharab ho tabiyat bahal kar donga,
laga k NARA-E-HAIDER A.S har ek basti ma,
Munafiqo ka Jeena Haram kar donga.
Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Aaj Bhi Silsila-e-Karb o Bala Jari Hai
Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai
Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher
gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main.
ALI A.S k Ishq ma aisa kalaam kar donga,
Jo kharab ho tabiyat bahal kar donga,
laga k NARA-E-HAIDER A.S har ek basti ma,
Munafiqo ka Jeena Haram kar donga.
Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai
Aaj Bhi Silsila-e-Karb o Bala Jari Hai
Ishq-e-Shabbir Ka Izhar Azadari Hai
Yeh Hai Faisla Meezan-e-Azal Ka
Har Ibadat Pey Hubb,e Ali(as)Bhari Hai
“Naye baras! Teri khushyan mana nahin saktay,
Rasool (S.A.W.W.A) roye jahan, muskura nahin saktay.
Hamara saal nahin,zindagi Hussain (A.S) se hai,
Ham apni zeest k ma’ani bhula nahin saktay.”
"Marzi-e-Rab Thi Muhammad(saww) Ny Banaya Tha Alam
Shan Sy Khybar Men Bhai Ko Thamaya Tha ALAM
Phr Shah-e-Lolaak Ny Madiny Men Sajaya Tha Alam
Karbala Pohnchay to Ghazi(as) Ko Thamaya Tha Alam
Sham Ki Raah Me ABID(AS) Ny Uthaya Tha ALAM
Qila-e-Sham Py Zainab(sa) Ny Lagaya Tha Alam
Zalimon Jab Tak Tum Hum Pr Sitam Dhao Gay
Har Mohally k Makanon pY Alam Paao Gay.
Mazloom ka gham gardish-e-doraa`n se juda hai
Ye dard har ik dil ke khazane mein chupa hai
Har waqt jhapakti hui aankho`n ko zara dekh
Gar matam-e-Shabbir (a.s.) nahi hai to ye kia hai?
Apni jannat ko zara aur saja le waa'iz
Is se acha to mere ghar ka azakhana hai
Zid na kar tu mujhe Firdous mein le jaane ki
Raasta chor mujhe Karbobala jana hai
Mola ka malangaan ki taqdeer hay Jannat!!!!
Or un k malango ki bhi jageer hay Jannat!!!!
Jannat jissay chaye maangay Dua wo!!!!
Apne liey to Majlis-e-Shabeer(as) hay jannat!!!!
Aamaal mein saboot-e-wila hai Gham-e-Hussain (a.s.)
Nabioo`n (a.s.) ki bandagi ka sila hai gham-e-Hussain(a.s.)
Dushman gham-e-Hussainh (a.s.) ka dozakh ka rizq hai
Wo moj mein hai jis ko mila hai gham-e-Hussain (a.s.)
“Zulm ki aandhi men Haq ki justuju;
Tashnagi karti hai zakhmon se wuzu;
Sabr k banday ki Rabb se guftagu-
Hashr tak Haq ki sada hai: Karbala!”
Hum Panjtan Pak ka Matam jo hain karte!!!!
Momin ki hai pehchan nahin woh mot se darte!!!!
Kafir ko aur Momin ko sahi pehchan na ho jab!!!!
Kafir kabhi bhi Matam-e-Shabir (as)nahin karte !!!!
Hum Panjtan Pak ka Matam jo hain karte!!!!
Momin ki hai pehchan nahin woh mot se darte!!!!
Kafir ko aur Momin ko sahi pehchan na ho jab!!!!
Kafir kabhi bhi Matam-e-Shabir (as)nahin karte !!!!
“Apni taqdeer jagatay hen tere matam se
Khüd ki raah pe jatey hen terey matam se
Apne izhär-e-aqeedat ka saleeqa ye hai
Hum naya saal manatey hen teray matam se.”
“Karbobala ke mah e munawwar, tujhay salam;
Tapti zameen pe lasha e bay sar, tujhay salam;
Ta hashr yun hi majlisen hoti rahen, Zafar,
Farsh e aza e Sibt e Payamber (A.S), tujhay salam.”
“Ae chand-e-mohrm to hi bata, Zehra (A.S) ka chand kahan hai.
Abaad hai sari dunia, Zehra (A.S) ka ghar viran hai.”
“Azeezon, aaj shahadat ki raat aai hai,
Hussain Imam (A.S) ki rehlat ki raat aai hai,
Ye raat aaj qayamat ki raat aai hai,
Haram se Shah (A.S) ki rukhsat ki raat aai hai.
Nahin hai ye shab e qatl e Hussain (A.S) sonay ko,
Batool (S.A) aai hain har ghar mein aaj ronay ko.”
“Ghulam-e-Faateh e Badr-o-Hunain likh dena
Ya sogwar Shah-e-Mashraqain (A.S) likh dena
Agar koi b wasiyat na meri yad rahey,
Merey kafan pey faqt ya HUSSAIN (A.S) likh dena.”
“AHMAD (S.A.W.W.A) ke Nawason se jisay pyar nahin hai,
AHMAD (S.A.W.W.A) ki shifa’at ka wo haqdar nahin hai;
Is wastay kehtay hain Jahanum ko Jahanum,
Suntay hain wahan koi azadaar nahin hai.”
“Zikr e SHABBIR (A.S) dhamakon se dabane walay,
Kitne naadaan hain hum ko daranay walay;
Ghaib se aati hai ab bhi ye sada-e-Mehdi (A.S):
Zikr e Shabbir (A.S) karo, hum hain bachanay walay.”
“Hum ko Ali (A.S) ke ishq ne aala bana dia,
Qatra thay hum, Hussain (A.S) ne dareya bana dia;
Jab maatmi libaas kiya hum ne zaib-e-tan,
Hum ko gham-e-Hussain (A.S) ne Kaaba bana dia.”
“Ek ek shai azal se shareek-e-gham e Hussain (A.S),
Aisi to kainat men dekhi nahin misaal;
Sahil se moj-e-behar ka takrana baar, baar,
Hai matam-e-HUSSAIN (A.S) ki kitni haseen misaal.”
“Koi chheen nahin sakta hum se maatam,
Hai amanat ZAINAB (S.A) ki;
Khud kash hamlay sar e aam kro,
Tum jitna qatl e aam kro;
Ye MATAM kaisay ruk jaye?
Hoti hai qayadat ZAINAB (S.A) ki.”
"Phir Hamen Sahib-e-Kirdar Bana De MOLA
Bhai Ko Bhai Ka GHamkhar Bana De Mola
jINKI sanso Me Nahi Ishq-e-Ali(as) Ki Khushbo
Sans Lena Unhen Dushwar Bana De Mola
Jeete Ji Daikh Len Jannat K Nazary Hm B
Karbala Ka Hamen Zawwar Bana De Mola
Baagh-e-Jannat Men Tabiyat Nhi Lagi Meri
Karbala Ko Mera Ghar Bar Bana De Mola.
“Barhti hai bar’hami si zara noor-e-ain mein,
Milta hai iztarab younhi dil ke chain mein;
Selaab dekhta hun tau ata hai ye khaiyal,
Paani bhatak raha ho talash-e-HUSSAIN (A.S) mein.”
“Be khof ho rahi hai Azadari e HUSSAIN (A.S),
Dil ko sukoon hai ke Alamdar (A.S) saath hai;
Sadyon se ek pal bhi ye Panja na jhuk saka,
ABBAS (A.S) teray haath pe ZEHRA (S.A) ka haath hai.”
“Kaaba, teray ghilaf ka kala hai rung kyon?
Kiya tu b sogwar hai ZEHRA (S.A) k chen ka?
Ye rung sog ka hai jo tu ne kia pasand,
Kya Tu b AZADAR hai meray HUSSAIN (A.S) ka?”
“Kaaba Ali (A.S) k faiz se gulzar ban gaya,
But khanay se badla tau ba waqar ban gaya;
Kaaba Ali ka shukria karnay ke waastay,
Kaala libas pehn k azadar ban gaya.”
“Parcham-e-Hazrat-e-Abbas (A.S) uthaye rakhna,
Shor-e-matam se zamanay ko jagaye rakhna;
Ghum-e-Shabeer (A.S) ibadat hai koi rasm nahin,
Apni naslon ko azadar banaye rakhna.”
“Phaila raha hun is liye kashkol-e-bandagi,
Sanson ko Karbala ki hararat ka shoq hai;
Jannat ki arzu nahin, jeeta hun iss liye,
Shehr-e-HUSAiN (A.S), teri ziarat ka shoq hai.”
“Da’awa tou sab ka hai, hamari hai Karbala,
Laikin lahu main kis ne utari hai Karbala;
Dunya main aj bhi haq o batil ki jang hai,
Roz e azal say jari o sari hai Karbala.”
“Kuchh dair farz karo ke yeh majlisain na hon;
Sara jahan Hussain (A.S) ka qatil dikhai dey.”
“Ye matam ki sada zinda rakhay gi;
Humain Karb-o-bala zinda rakhay gi.
Mein duniya se chala jaun ga ek din,
Magar Sheh (A.S) ki aza zinda rakhay gi.”
“Hai dafn tairi khaak main dilband e Buturab (A.S),
Ay Arz e Karbala, ye muqaddar ke baat hai.”
Jin ki dil ki wadion mein Karbala ta’meer hai,
Un ki khushyon ki zamanat parcham-e-Shabbir (A.S) hai;
Isko kehtay hen Imamat, aisay hotay hen Imam,
Haath mein saari khudai, paaon mein zanjeer hai.”
“Karbala waalon ke maqsad ko subhi bhool gaye,
Chund ansu kia bahaye, tishna labi bhool gaye;
Ahl e maatam ko faqat seena zani yaad rahi,
Aur paigham-e-HUSSAIN ibne ALI (A.S) bhool gaye.”
“Shabbir (A.S) ka naukar bhi hun, khata kaar bhi hun,
Dozakh men na jaunga, gunah gaar bhi hun;
Gar dozakh men ley jaogey farishton hum ko,
Aag ro ro ke bujha dunga, azaadar bhi hun.”
“Ghum e Hussain (A.S) mein maghmoom ye jahan sara,
Kahin pe jin, kahin iñsañ, kahin parinda hai;
Dhamakay majlis e Shabbir (A.S) mein jo kartey hain,
Unhain ye khauf hai ab bhi Hussain (A.S) zinda hai!!!”
“Maa ki aaghosh mein wo jam piya hai mein ne,
Lab hilay tau Ali (A.S) naam liya hai mein ne;
Aur mili quwwat-e-junbish jo meray haathon ko,
Goad mein maatam-e-Shabbir (A.S) kiya hai mein ne.”
"Dagh-e-matam jo seenay pay laga rakha hai,
Dil ko Maula (A.S) ka azakhana bana rakha hai;
Mushkilon soch kay ana meray ghar ki janeb:
Mein nay Ghazi (A.S) ka a'lam ghar pay saja rakha hai."
Mimbar Ali (A.S) ka chheen lia aur mukar geye,
Maula Hasan (A.S) ko zehr dia aur mukar geye,
Zainab (S.A) k ghar ko loot lia aur mukar geye;
Rotay hain hum is lye shor-o-shain say,
Kal ko na mukar jayen ye qatl-e-Hussain (A.S) say."
"Jagay huay is kufr ke fitnay ko sula do, Jo samnay aaye, usay thokar se urhaa do,
Islam ki soyi hui taqdeer jaga do,
Islam ki soyi hui taqdeer jaga do,
Tum kaun ho, kia ho, ye zamanay ko bata do;
Tum naara-e-Takbeer ho, Hal-Minn ki sada ho,
Tum Fatima Zehra (S.A) ke dukhay dil ki dua ho,
Tum Hazrat e Abbas (A.S) ke parcham ki baqa ho,
Ho jaao mukhalif, jo mukhalif ye hawa ho.
Hasrat se tumhen dekhtay hain Shah-e-Mashraqain (A.S),
Sab mil k kaho dosto:
LABBAiK YA HUSSAiN (A.S),
LABBAiK YA HUSSAIN (A.S).”
"Rona Hussain (A.S) ka hai, aqeedat Hussain (A.S) say,
Maatam ka silsila hai muwaddat Hussain (A.S) say;
Seenon pay haath maar kay kartay hain yeh a'ilaan:
Nafrat Yazeed say hai; mohabbat Hussain (A.S) say."
Gham-e-Hussain (A.S) ki dil-kash fiza mein rehta hoon,
Isi bahaanay say mein Karbala mein rehta hoon;
Labon pay rehti hai har waqt meray Naad-e-Ali (A.S),
Isi kay dam say dua ki rida mein rehta hoon."
"Nazrana-e-ashk-e-gham-e-Shah (A.S) ab kaafi nahin;
Yeh daur azaadaar say kuch aur maang raha hai."
Jisay Aal-e-Ahmed (S.A.W.W.A) say ulfat na hogi,
Kabhi urooj pay uski qismat na hogi;
Bina hubb-e-Haidar (A.S) karo ge jo sajday,
Yeh a'adat tau hogi, ibaadat na hogi."
"Dozakh ko har tarah ka gunaagaar chahye,
Jannat ko faqat Sheh (A.S) ka azaadaar chahye;
Bund hoti hain, khulti hain, Asghar (A.S) ki ungliyaan,
6 maah kay Ali (A.S) ko bhi talwaar chahye."
"Shabbeer (A.S) agar dil mein tera naqsh-e-qadam hai,
Kuch khof na mehshar ka, na a'amaal ka gham hai;
Yeh raaz khula Hurr (R.A) kay muqaddar say jahan mein,
Jannat tau teray aik tabassum say bhi kam hai."
"Chhorh kar sajdon ko tauheen-e-Muharram na karo;
Bay-namazi ho tau Shabbeer (A.S) ka maatam na karo."
"Momin kay liyay tau jaan-e-hasti hay Namaz,
Eeman ki aaghosh mein basti hai Namaz;
Milti nahin mehshar mein kisi bhi qeemat par,
O zindagi walon, parh lo, abhi sasti hai Namaz."
"Aswad ko chhomtay huay khamosh sab rahay,
Bid'at nahin hai kia yeh kisi ki nigaah mein?
Aye mufti, kyun na keh dia Ka'abbeh ko dekh kar:
Kaafir sa lug raha hai libaas-e-siyaah mein."
"Karo Yazeed (L.A) say ulfat magar, musalmaanon,
Nijaat ka bhi koi rasta talaash karo;
Naya rasool banaao, jo ho 'adu-e-Hussain (A.S),
Jo ho Yazeed (L.A) say khush wo khuda talaash karo."
"Jo zikr-e-Ali (A.S) sun'nay sunanay nahin aatay,
Jannat mein makan unko bananay nahin aatay;
Jo sotay hain marqad mein hubb-e-Ali (A.S) kay saath,
Munkir Nakeer un ko satanay nahin aatay;
Tat'heer ki ayat ko samajh letay agar tum,
Dil Fatima Zehra (S.A) ka dukhanay nahin aatay;
Ghar un kay balaaon mein ghiray rehtay hain har dumm,
Ghazi (A.S) kay a'lam jin ko sajanay nahin aatay."
"Qirtaas-e-shifa'at kay siwa aur bhi kuch maang,
Mehshar mein muwaddat ki jaza aur bhi kuch maang;
Jannat mujhay bakhshi tau sada ghaib say aayi:
Shabbeer (A.S) kay maatam ka sila aur bhi kuch maang."
"Ghalib, mai-nosh honay par gar Jannat na ja sakoon,
Hasrat yehi hai kay baad-e-marg kuch kaam aa sakoon;
Eendhan bana dey mujh ko Jahannum ka, aye Khuda,
Har dushman-e-Ali (A.S) ka kalaija jala sakoon."
"Haq-e-Zehra (S.A) ki qasam, Aal-e-Nabi (S.A.W) par salawaat,
Wo ibaadat hai jo khud Ma'abood baja lata hai."
"Logon, ye sada aati hai Sarwar (A.S) ki lehd say:
Koi tau meray zakhm pay marham bhi laga day;
Ya qabr pe Zehra (S.A) ki bana day koi saya,
Ya saya-e-gunbad meray rozay say hata day."
"Teray dil mein kaisi giraah parhi,
Tujhay iss say itna hasad hai kyun?
Jo Nabi (S.A.W.A) ki aankh ka noor hai,
Jo Ali (A.S) ki ankha ka chaen hai.
Kabhi pooch apnay khameer say:
Wo jo mit gya, wo Yazeed tha;
Jo na mit saka, wo Hussain (A.S) hai."
"Wa hasrata! Kay Shah (A.S) ka maatam hua tamam,
Aayi khizaan, bahaar ka mausam hua tamam,
Jis ki khushi dilon ko thi, wo ghum hua tamam,
Sar peeto mominon kay Muharram hua tamam;
Aye agar ajal, tau ye matam, ye ghum kahan,
Ye majlisain tau hashr talak hain, par hum kahan."
"Girya karo, barh'hao zara shor-o-shain ko,
Pursa do Syeda (S.A) ko, Sheh-e-Mashreqain (A.S) ko,
Rukhsat karo a'lam say lipat kar Hussain (A.S) ko,
Paao ge kal na Fatima (S.A) kay Noor-e-A'in ko;
Aadaab-e-ta'aziat na ada hum say ho sakay,
Hasrat rahi kay haaye, na ji bhar kar kay ro sakay."
"Arhsath (68) dinon tak un kay masaayeb pay royay hain,
Wo aaj khush huay tau zamanay ki eid hai;
Ya Rabb, na mominon ki khushi ko nazar lagey,
Zehra (S.A) kay soag-waar gharaanay ki eid hai."
"Aye Ghareeb-ul-watan, al-wida', al-wida',
Laashaa-e-bay-kafan, al-wida', al-wida';
Saamnay jab bhi paani ka jaam aaye ga,
Lab pay bay-saakhta tera naam aaye ga,
Piyaasay Sheh-e-Zaman (A.S), al-wida', al-wida';
Lay kay aayi hai Zainab (S.A) payaam aakhri,
Leejyay uth kay, Maula (A.S), salaam aakhri,
Ja rahi hai watan, al-wida', al-wida'."
"Hum loag agar haq kay paristaar na hotay,
Ye khoon kay pursay sar-e-bazaar na hotay;
Rugg-rugg mein namak Fatima Zehra (S.A) ka rawaan hai,
Phir kesay humaray bachchay aza-daar na hotay?!"
"Aik aansu kay ewaz milta hai ghar Firdous ka;
Kis qadar Shabbeer (A.S) nay Jannat ko sasta kar dia."
"Zulm samjha tha kay jal jaaye gi shoalon men namaz;
Raakh khaimon ki kuraidi tau musallay niklay."
"Dhoop ki mauj men sooraj ka bhi khoon milta hai,
Soag men parcham-e-ehsaas nigoon milta hai;
Haan, magar Ibn-e-Ali (A.S) aik shajar hai aisa,
Jis kay saaye men shariyat ko sakoon milta hai."
"Gham-e-Hussain (A.S) ki chaadar jo taan laita hai,
Usay Khuda bhi khud Apni amaan daita hai;
Tu aik zindagi kar dey ba-naam-e-Ibn-e-Ali (A.S),
Hussain (A.S) badlay men dono jahaan daita hai."
"Mat soch kay hum teri taaqat kay talay hain,
Ye ghar tau pehlay bhi kayi baar jalay hain;
Tu rasm-e-Yazeedi ko barhay shoq say apna,
Hum bhi tau kisi Maan (S.A) ki duaaon men palay hain."
"Kitni ajeeb hai naikiyon ki justuju;
Namaz bhi jaldi men parhhtay hain phir say gunaah karnay kay liyay."
"Thikana qabr hai tera, ebaadat kuch tau kar ghaafil;
Kahawat hai kay khaali haath ghar jaya nahin kartay."
"Jannat mein Jannat kay haq-daar jayen ge,
Qasam Ali (a.s) ki, Ali (a.s) kay hub-daar jayen ge;
Dar-e-Jannat pay kharhi Zehra (s.a) yeh kehti hain:
Jannat mein meray laal kay aza-daar jayen ge."
"Jo shakhs mehfil-e-Haider (a.s) mein ja nahin sakta,
Ali (a.s) kay naam ka na'ara laga nahin sakta;
Ali (a.s) kay betay ijazat agar nahin dain tau,
Kisi ka baap bhi Jannat mein ja nahin sakta...!"
"Jannat ki aarzu mein kahan ja rahay hain log?
Jannat tau Karbala mein khareedi Hussain (a.s) nay;
Dunia-o-Aakhrat mein jo rehna ho chain say,
Jeena Ali (a.s) say seekh lo, marna Hussain (a.s) say."
"Shab-e-hayat mein taseer-e-roshni kia hai?
Chalo, Hussain (a.s) say poochain kay zindagi kia hai?
Gham-e-Hussain (a.s) hai pehchaan aadmiyat ki,
Hussain (a.s) hi pay na roye, wo aadmi kia hai?!"
"Islam ko Karbal ka azadar pasand hai,
Mazloom ki ulfat ka yeh kirdar pasand hai;
Har shehr kay har morh pay matam ki sadayen,
Zainab (s.a) ko mawaddat ka yeh iz'har pasand hai;
Shabbeer (a.s) ka gham dil say manata hai jo momin,
Sajjad (a.s) ko Baba ka wo gham-khwar pasand hai;
Iss daur-e-sitamgar mein rahay Haq pay jo qayem,
Mehdi (a.j.f) ko wo Deen ka taraf-daar pasand hai."
"Maula (a.s) say lau lagao, chalo, Karbala chalain,
Ek qaafila banao, chalo, Karbala chalain;
Zaad-e-safar Imam-e-Zamana (a.j.f) say maang kar,
Parhh kar durood ao, chalo, Karbala chalain;
Saaye ki tarah maut hai peechay lagi hui,
Barhh kar a'lam utaho, chalo, Karbala chalain;
Ab koi mulk fitnay say khali nahin raha,
Dunia say haath uthao, chalo, Karbala chalain."
Tehreek-e-zul-o-jaur gawara nahin kartay,
Hum daulat-e-dunia pay sahara nahin kartay;
Hum 12 imamon (a.s) kay paristar hain logon,
Marr jatay hain, ghairon ko pukara nahin kartay."
"PANI gham-e-Hussain (a.s) mein behnay ka hai sabab,
Kartay hain log AAG pay maatam, ba-sad adab,
Nauhon ki har sada pay HAWAYEN hain muztarab,
Farsh-e-aza bhi KHAAK pay bichhta hai roz-o-shab;
Chaaron pay raaj hai, Shah-e-Mushriqain (a.s) ka,
Dar-asl zindagi pay hai qabza Hussain (a.s) ka."
"Ajab, kabhi zikr-e-Hussain (a.s) jo bayan hota hai,
Tau bughz chehra-e-Iblees say a'yan hota hai;
Kia ajab raaz maatam-e-Shabbeer (a.s) mein hai:
Haath parhta hai yahan, dard wahan hota hai...!"
"Hargiz nahin hai maatam-o-sajda alag, alag,
Dono mein hai Shabbeer (a.s) ka jalwa alag, alag;
Sajdon ka bhi nishaan hai, maatam ka bhi nishaan,
Dono karen ge qabr mein jalwa alag, alag;
Jo log munkireen-e-Wilayat hain, un se tau,
Nimtain ge khud Imam-e-Zamana (a.j.f) alag, alag;
Hurr (r.a) ba-naseeb tha, bud-naseeb Hurmala,
Dono ka naam aik tha, shajra alag, alag;
Haider (a.s) kay munkireen say hain momin kuch aisay door,
Rehtay hain jesay murdon say zinda alag, alag."
"Unki ulfat ka taaj rakhtay hain,
Har marz ka ilaaj rakhtay hain;
Hum ko kia darr Yazeediyat say bhala?
Hum Hussaini mizaaj rakhtay hain."
"Guzray gi apni zindagi ab khushyon bhari bahaar mein,
Maula Ali (a.s) kay piyaar mein, Mehdi (a.j.f) kay intizaar mein."
"Shabbeer (a.s) ka naukar hoon, khata-kaar bhi hoon,
Dozakh mein jaoon ga, gunah-gaar bhi hoon;
Gar Dozakh mein lay jaayenge farishtay mujh ko,
Aag ro, ro kay bujha doon ga, a'za-daar bhi hoon!"
"Jo nasl-e-Yazeed say rakhta hai raabeta,
Jalta hai aaj roza-e-Sarwar (a.s) ko daikh kar;
Majlis mein aana iss liyay bid'at bata diya,
Yaad-e-Ghadeer aati hai, mimbar ko dekh kar."
"Rutba ghum-e-Hussain (a.s) ka haasil dikhayi dey,
Farsh-e-a'za nijaat ka saahil dikhayi dey;
Kuch der farz keejyay, ye majlisen na hon...
Sara jahan Hussain (a.s) ka qaatil dikhayi dey."
"Naar-e-Dozakh milay Deenh kay ghaddaron ko,
Hirs-e-Jannat bhi nahin Haq kay paristaaron ko;
Fatima (s.a) haath utha kar jo dua daiti hain,
Aur kia chahyay Maula (a.s) kay a'zadaron ko!"
"Maula (a.s) kay malangon ki taqdeer hai Jannat,
Hasnain shareefain (a.s) ki jageer hai Jannat;
Jannat ki zarurat ho jisay, maangey dua woh!
Meray liyay tau majlis-e-Shabbeer (a.s) hai Jannat."
"Nijaat pa gya Fitrus, karam Hussain (a.s) ka hai,
Abhi zameen pay pehla qadm Hussain (a.s) ka hai;
Yeh keh kay chhorh dia qabr mein farishton nay:
Na dain ge dukh issay, pehlay hi ghumm Hussain (a.s) ka hai;
Nishaan-e-sajda na takra nishaan-e-maatam say,
Namaz parhhta hai, yeh bhi karam Hussain (a.s) ka hai."
"Masjid ki saffon say kabhi maqtal ki taraf daikh;
Tauheed tujhay Shabbeer (a.s) kay sajday mein milay gi."
Maqam-e-ishq koi bay-zameer kia janay!
Hussainiyat ki haqeeqat haqeer kia janay!
Nabi (s.a.w.a) ki zaat pay hiziyan ka ho shak jis ko,
Wo do (2) rak'at ka namazi Ghadeer kia janay!"
0 comments:
Post a Comment