27 August 2009

Misc



hum ali walay jisay dil sae dua dety hain 

uski bigri hoi taqdeer bana dety hain 

jitnay peso pay ghani hotay hain duniya walay 

utnay peso kaa hum LUBAAN jala dety hain







Ho to jaon main Musalman magar.
 ek GHAM hy  Ho na jaon kahin rastay ko bhulanay wala .
Suun be rakha hy kitaboon main perha hy main ne .
 ek musalman tha " ZAHRA (A.S) " ko rulanay wala .
 ( These are the feelings of an indian Non-muslim Poet GOPI )

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 


Mushwara Hai Yeh Hamara Har Siyasatdan Ko
Mushwara Hai Yeh Hamara Aaj Har Insan Ko
Dushmano Se Gar Bachana Chaho Pakistan ko
Har Taraf Ho Yeh Sada.............Ali(a.s) Waris.

 

 

 

 

 

 

"IS KADAR KUM HO PARESHAN ALI ( A.S) WARIS HAI,
MUSHKILEN HONGI AASAN ALI (A.S) WARIS HAI,
MOHAMMAD(SAW) NE PARHI NAAD-E-ALI KHABIR MAIN,
HO GAYA SAAF YEH ELAAN ALI (A.S) WARIS HAI."


 

 

 


 

Meri zindagi Ali(AS) say hey, Meri Bandagi Ali(AS) say hey.

Chahtey ho meri dosti meri dosti Ali(AS) Say hey.

Hey deen ki baqa yehi, Hey wajh-e-La Ilaah bhi.

jo karey Ali(AS) say dushmani meri dushmani ussi say hey

 

 

 

 

 

 

 

" JO BAT HAQ KI HAY USKO ZAROOR LIKHA HAY,

WILA-E-AAL (A.S) KO FITRT KO NOOR LIKHA HAY,

ALI(A.S) KA PYAR BHI MAOON KI DAIN HAY KOSAR,

ALI(A.S) KA BUGHZ BI MAA KA QASUR LIKHA HAY

 

 

 

 

 

" IBADAT KERNI HAY TO MUHAMMAD (S.A.W.A.W) SE SEKHO,

SAKHAWAT KERNI HAY TO ALI(A.S) SE SEKHO,

GHAR CHALANA HAY TO FATIMA ZEHRA (S.A) SE SEKHO

DUSHMAN KO JHUKANA HAY TO HASSAN (A.S)  SE SEKHO,

SIR KATANA HO TO HUSSAIN SE SEKHO.






" JALTA HAY TO JAL JAEY KOI MERI BALA SE,,,
 MAIN ZIKR-E-ALI(A.S) KERTA HN KHALIQ KI RAZA SE,
 ACHA HAY JALO ZIKRA-E-ALI(A.S) SUN K MUSALSAL
 HO JAO GAY MAANOOS JAHANUM KI FIZA SE "








Ay Logoan Meray Janazay K Saath Chaltay Huay.
 Meray Badan Ko Lehed K Supurd Kertay Huay.
 Hai Ilteja Meri Her Jaa Ali (a.s) Ali (a.s) Kerna.
 Hai Ambiya (a.s) Ka Wazeefa Ali (a.s) Ali (a.s) Kerna...












"A L L A H"
wo hy jo qatry ko faiz-e-aam kry

"N A B I"
wo hy jo khudai ka intzam kry

"K A B A"
wo hy jisy sajda her khas-o-aam kry

"A L I"
wo hy jise kaba khud salam kry

"F A T I M A"
wo hy js ka nabi kharhy h...o kr aehtram kry

"H A S S A N"
wo hy Allah jannat jis k nam kry

"H U S S A I N"
wo hy jo sar kta kr b nezy pr kalam kry

"A B B A S"
wo hy jse wafa khud salam kry
"M O M I N"
wo jo karbala k zikr ko aam kry.















Takhleeq-e- Panjtan Pe Khuda ko Ghurur hai,
Aosaf-e-Kibriya ka inhi se Zahoor hai,

Ayat-e-Tat'heer ne ye kr diya Elan,
Wo Najis hai jo Al-e-Mohammad se door hai.








" MERAY MOLA QABAR MERI US JAGA TAMIR HO,,,

HAZRAT-E-ABBAS GHAZI(A.S) KI JAHAN JAGEER HO,,,,

AARZOO MERI HAY K DAR-E-SHABEER (A.S) PE,,,,

HAZRAT-E-HURR KI TARHAN ROSHAN MERI TAQDEER HO".,.,.,.,










" BHAR BHAR K JAM ULFAT-E-HYDER(A.S) PIYA KERO,,,,

MUSHKIL PARAY TO NAM ALI(A.S) KA LIYA KRO,,,

GAR CHAHTAY HO KHULD MAIN OONCHA MILAY MUQAM,,,

ZAHRA(S.A) K DUSHMANO PE TABARA KIYA KRO".,.,.,.,.











"MUJHE DE DY GHAM E SHABEER KI DOULAT YARAB,

TO KISI OR KI QISMAT ME DOULAT LIKHDE,

MERE HONTOO PE MUHAMMAD (saw) MERE SEANE PE HUSSAIN (as)

OR BUS NAD E ALI (as) MERE KAFAN PE LIKHDE,

AB HAI APNA KADI DHOOP PE CHALNA MUSHKILL,

APNI QISMAT ME PURCHAM E ABBAS (as) KA SAYA LIKHDE









AAY ZAMANAY TUJH SAY GHARAZ NAHIN!!
TARI CHAHATOO KE TALUB NAHIN!!
MAY TO MATAMI HOON HUSSAIN(A.S) KA!!
MUJHAY CHAHTA KOI AUR HAI!!















"iSLAM Ki BEHYANAK TAREEKH"
Janaza'e RASOOL Main Sirf 7 Musalman Shareek Howay.....
Janaza'e BATOOL Main Sirf 9 Musalman Shareek Howay......
Janaza'e HASSAN ...w> Main Sirf 13 Musalman Shareek Howay......
Janaza'e HUSSAiN Main Kisi Ko Tofeeq Nahi They......
AaL'e MUHAMMAD Ko JaaN K GEO!!!!!!!
((Tehqeeq Shuda Tareekh))










" Sab Kitabain Hain Riaya, 
Badsha Quran Hai
Ek Hidayat Ka Mukamal Silsila Quran Hai,
Hain Azal Se ta Abad Quran K Waris  Wohi,
Jin K Ghar Ka Bacha Bacha Bolta Quran Hai.
Naam Dono Pr Likhain HainWarna Dunya Pouchti.
Kon Sa Nehj-ul-Balagha Kon Sa Quran Hai."







"Ya Ali tera dum karte rahengaye,
Matam tera Allah ki kasam karte rahengaye,
tu laakh chupe parday mein e rooh e yazid,
Laanat teri tasweer pe hum karte rahengaye.






Kab, kese, kahaN, kis ko khabar, kon hai, kia hai?
Idraak se bala hi teri hamd-o-sana hai,
Chouda (14) ko hai ye fakher ke banday hein wo tere
Tera ye sharaf hai ke tu chouda (14) ka Khuda hai!








Hum sab muhibbaan-e-noor hein
Aur wo is noor se bahut hi door hein
Hum Ali (a.s.) ko chor nahi sakte aur wo Ali (a.s.) tak ayein ku?
Dono apne khoon ki taseer se majboor hein








Jis ki nasal kushi ki khatir tum ne kitni jangeiN kien
Aaj bhi ghaibat ke parday mein us ka beta baqi hai
Makkah Kufa Shaam Madinah, ghoomo, dekho, phir samjho
ArbooN Arab paray hein, lekin kis ka shajra baqi hai?






Aay paalney waley mujhe sardaar bana de
Na'lain-e-Muhammad (saw) meri dastaar bana de
Ker un ke nawasooN ke azadaaroN mein shaamil
Itna to mujhe sahib-e-kirdaar bana de
Kar diya tu ne ye saabit aay dilawar "aadmi"
Zindigi kia , maut se leta hai takkar "aadmi"
Kaat sakta hai rag-e-garda’n se khanjar "aadmi"
Lashkaro’n ko raund sakte hein ba'hattar (72) "aadmi" !!








Chaltay hain jab Hussain (A.S) Madeeneh ko chhorh kar,

Naana (S.A.W.W.A ) kay baad ponhchay hain Maan (S.A) kay mazaar par,
Pehlay tau aansu'on se wo kartay hain khaak tar,
Phir boltay hain qabr ki mitti ko choom kar;
Amman (S.A), Hussain (A.S) par tau Qayamat ka waqt hai,
Ab doodh bakhsh deejiye, rukhsat ka waqt hai."







"Iss shehr se jaatay hain, dey hum ko duaa, Naana (S.A.W.W.A),
Aabaad karain ge hum, ab Karb-o-Bala, Naana (S.A.W.W.A)."
"Jungle mein dil kay tukrhon ki basti basaaye ga,
Ammaan (S.A), Hussain (A.S) ab na Madeeneh mein aaye ga;
Tum bhi lahoo bharaa ye chaman daikhnay chalo,
Zainab (S.A) kay baazu'on mein rasan daikhnay chalo."






"Paidal Sheh-e-Deen (A.S) roza-e-Ahmed (S.A.W.W.A) pay sidhaaray,
Turbat se sadaa aayi kay, aa mairay piyaaray,
Shabbeer (A.S) marqad se lipat kar ye pukaaray,
Milta naheen aaraam Nawasay (A.S) ko tumharay;
Khut kia hai, ajal ka payaam aaya hai, Nanaa (S.A.W.W.A),
Aaj aakhri rukhsat ko Ghulaam aaya hai, Nanaa (S.A.W.W.A)."






“Lakhon se bahattar ki larhai ke ye din hain,
Sadaat pe aafat ke, tabahi ke ye din hain,
Zainab (S.A) se baradar ki judai ke ye din hain,
Zehra (S.A) ke bharay ghar ki safai ke ye din hain.
Bay warison se warison ka sath chhuta hai,
Zehra (S.A) ka bhara ghar inhi rozon mein luta hai.”






“Aada se mili Sheh (A.S) ko jo ek raat ki muhlat,
Farmaya yehi shab hay mulaqaat ki muhlat,
Kal subh kahan herf o hikayaat ki muhlat,
Dushman hamain dainay ke nahin baat ki muhlat.
Ji bher k hamain dekh lo ay Ahl e Haram tum,
Ab phir nahin milnay ke, siwa hashr ke, hum tum.”









“Tha bus ke roz e qatl e Shah e aasman janab (A.S),
Nikla tha khoon malay huay chehray pe aftab,
Thee nehr e Alqama bhi khijalat se aab aab,
Rota tha phoot phoot k darya mein her habab.
Pyasi jo thee sipah e Khuda teen raat ki,
Sahil se sar tapakti theen mojain Furat ki.”







“Jab qataa’ ki musafat e shab aftab nay,
Jalwa kia seher ka rukh e be hijab nay,

Dekha suay falak Shah e gardoon rakab (A.S) nay,
Murh kar sada rafiqon ko di us janab nay;
Aakhir hai raat hamd o sana e Khuda karo,
Utho, fareeza e seheri ko ada karo.”






“Aaj hi samna lakhon se Sarwar (A.S) ne kia,
Aaj sab fauj se ek ek bahadar hai larha,
Aaj naiza Ali Akbar (A.S) ke kalaijay mein laga,
Aaj Qasim (A.S) ka badan ghorhon se paamaal hua;
Aaj maidan mein zakhmi Shah e Deen (A.S) hotay hain,
Apnay ghum khwaron ke lashon pe kharhay rotay hain.”





“Mominon, Asr ka ab waqt hai nazdeek aya,
Hai ye wo waqt ke ghorhay se giray hain aqa,
Ab tasawwur karo sar nangay hain Mehboob e Khuda (S.A.W.W.A),
Ab hua chahta hai khatima e Aal e Aba (A.S);
Khaak pe arsh e azeem aaj gira chahta hai,
Shimr, Mazloom ke seenay pe charha chahta hai.”








“Gham ka ilaaj is ke siwa aur kuch nahin,
Khaak-e-shifa hai meri dawa, aur kuch nahin;
Ghurbat ki taiz dhoop se bachnay ke wastay,
Parhtay raho Hadees-e-Kisa, aur kuch nahin;
Maal-e-Khadija (A.S), Zarb-e-Ali (A.S), Sajda-e-Hussain (A.S),
Islam mein bus is ke siwa aur kuch nahin;
Gar chahtay ho Fatima (S.A) aayen Bahisht se,
Ghar men bichha do farsh-e-aza, aur kuch nahin;
Us ne kaha ke deen ki tareekh puri likh,
Mein ne faqat Hussain (A.S) likha, aur kuch nahin.”







“Hum ko ghum e Hussain (A.S) men marna qabul hai,
Is raah men mila hua pat'thar b phool hai.
Jannat na payen ge gham e Shabbir (A.S) k bagher;
Bay hubbe Ahle Bait (A.S) ki shahi fuzool hai.
Barchhi laga na seene pe Akbar (A.S) ke, ay laeen,
Tujh ko khabar naheen ye Shabih e Rasool (S.A.W.W.A) hai.
Ay Shimr qatl karnay se pehle ye soch le;
Ye Fatima (S.A) ka laal hai, Ibne Rasool (S.A.W.W.A) hai.
Jannat ki fikr ho mujhe, Khurshid, kis lye;
Jannat meray Hussain (A.S) k qadmon ki dhool hai.”





“KÅRBALÅ se jo ho ke häwä aäti hai,
Kisi MÅÅSÖÖM (S.A)  ke ronay ki sädä aäti hai;
Kaun soyä hai kinäräy pe tere ñehr-e-Fürät?
Téri mitti sé abhi tak bu-e-wåfå aäti hai.”






“Kuch is tarha ye ibadat ko aam karte hain,
Sajood in ki gali mei qayam karte hain,
Kaha Khuda ne Ali (A.S) se bana ke Jannat ko,
Isey bhi Hum teray bachchon ke naam kartay hain.”







“Ali (A.S) ko Khaliq e Akbar ki aan kehtey hein,
Hassan (A.S) ko qalb e Risaalat ki shaan kahtey hein;
Bacha k deen e Khuda jo Khuda ki laaj räkhey,
Zäbaan e ishq mein us ko Hussain (A.S) kehtay hein.





“Jub se dar-e-Hussain (A.S) pe qurban ho gaye,
Jitnay bhi imtehan thay, åasan ho gaye;
Kuchh dushman-e-Rasool (S.A.W.W.A) aisay bhi sunay hen,
Jab kuch na kar sakay tau musalman ho gaye!!”







“Ya Ali (A.S), Mushkil Kusha, aao madad ke wasaty,
Sari dunya kar rahi hai isteghasa aap se;
Jis se auron ki madad ho, aisi daulat chahiye,
Jo deen ke kam aye, aisi shohrat chahiye;
Jo ho mazloomon ki haami, aisi taaqat chahiye,
Hosla e Qasim (A.S) o Akbar (A.S) ki shuja’at chahiye;
Parcham e ABBAS (A.S) ka saya sada sar par rahay.”







“Hai FATIMA ZEHRA (S.A) ki kaneezon se guzarish,
Kirdar ki taaqat se zamanay ko hila do;
Bazar mein maangi thi rida BINT E ALI (S.A) ne,
Tum bhi tau ridaon ke taqaddus ki sada do.”







“Qadam qadam per aik naik kam karta hoon,
Ali (A.S) walon ka barha aihtaram karta hon;
Dekhta hoon jahan GHAZI ABBAS (A.S) ka alam,
Us ghar ko jhuk ker salam karta hoon.”






“Teeron kay musallay per wo sajda-e-shukrana,
Shabbir (A.S) ne batlaya Islam pe mar jana.
Socho tau musalmano, yeh baat koi kum hai,
Ahmad (S.A.W.W.A) ki Nawasi ka darbar men aa jana.
Barchhi Ali Akbar (A.S) ke seenay se nikal aai,
Dekha na gaya Sheh (A.S) se, yun dil ka nikal aana.”





“Ghum-e-Shabbir (A.S) mein ronay se baqa milti hai,
Dar pe Abbas (A.S) kay janay se wafa milti hai;
Chala aye jo sharminda ho kay Hurr (R.A) ki tarah,
Aisay insaan ko Zehra (S.A) ki dua milti hai.”






"Takhleeq-e-Panjatan (A.S) pay Khuda ko gharoor hai,
Ausaf-e-Kibriya ka in hi say zahoor hai;
Ayat-e-Tat'heer nay ye kar dia a'ilaan,
Wo najis hai jo Aal-e-Payambar (A.S) say door hai."





"Har fard ko saaheb-e-ahsaas bana deti hai,
Zaheen ko fika ka akkaas bana deti hai;
Fatima Zehra (S.A) kay bachchon ki ghulami kar lo,
Ye wafadaar ko Abbas (A.S) bana deti hai." 








"Khaliq ne kuch is tarah se utaray hain Muhammad (S.A.W.W.A),
Har daor mein, har shakhs ko piyaray hain Muhammad (S.A.W.W.A);
Aksar dar-e-Zehra (S.A) pe yeh Jibraeel (A.S) ne socha:
Paighaam kisay doon, kay yeh saaray hain Muhammad (S.A.W.W.A)."






"Har soo rawaan hawayen, khumaar-e-tarab hai aaj,
Baab-e-qabool waa hai, muraadon ki shab hai aaj,
Saaqi, mujhay na chhairh kay pehli Rajab hai aaj;
Rukh say naqaab utha kay naweed-e-zahoor hai,
Haazir hai dil ka jaam, sharaab-e-tuhoor hai."







"Isi maah aalam-e-Islam kay Sultan utray hain,
Abu Talib (A.S) kay aangan mein kayi Zeeshan utray hain,
Mah-e-Sha'abaan ki ta'areef mein aur kia likhoon?
Maheena aik hai, laikin kayi Quraan utray hain."







"Sooraj hai surkh goar-e-ghareebaan ko daikh kar,
Kaafir hai dungg aisay musalmaan ko daikh kar;
Kia yeh muhabbaton ka sila tha Rasool (S.A.W.W.A) ko?
Kiyun khaak mein mila diya qabr-e-Batool (S.A) ko?"






"Jab zulf ko kholay huay laila-e-shab aayi,
Pardais mein saadaat pay aafat ajab aayi,
Faryaad-kunaan rooh-e-Ameer-e-Arab (S.A.W.W.A) aayi,
Ghul tha kay shab-e-qatl-e-Sheh-e-tishna-lab (A.S) aayi;
Saadaat ko kia kia gham-e-jaan-kaah dikhaaye,
Raat aisi museebat ki na Allah dikhaaye."








"I'trat say mohabbat bhool gye,
Woh ajr-e-Risaalat bhool gye;
Bus Ghaar-e-Hira ek yaad raha,
Aur bistar-e-Hijrat bhool gye;
Kab maal-e-ghaneemat bhool sakay;
Hyder (a.s) ki i'nayat bhool gye;
Ka'abeh ki fazeelat yaad rahi,
Hyder (a.s) ki wiladat bhool gye;
Ghairon ko Nabi (s.a.w.w.a) ka raavi kaha,
Hyder (a.s) say rivaayat bhool gye."








"Falak-nasheen nay dia woh kamaal mitti ko,
Shifa bana gya Zehra (s.a) ka laal (a.s) mitti ko;
Yeh jaanti hai kay hum loag Bu-Turaabi hain,
Parhay ga rakhna humara khayal mitti ko."






"Misaal-e-Ja'afar-e-Tayyar (a.s) ho nahin sakta,
Jawab-e-Hyder-e-Karrar (a.s) ho nahin sakta;
A'alm ko rakh diya Ghazi (a.s) nay uss bulandi par,
Kay koi aur "A'lamdar" (a.s) ho nahin sakta."






"Mehshar mein yeh shaagirdon say ustaad kahain gey:
Hum khud hain pareshan, tumhain apni parhi hai;
Jaayen tau kahan jaayen, k haq chheena tha jiska,
Darwaza-e-Jannat pay wohi Bibi (s.a) kharhi hai."









"Mera aqeeda hai ba-roz-e-mehshar, falak pay yeh ehtemam hoga,
Meray khayalon say bhi ziyada wasee'-tar ek muqaam hoga,
Kahin Muhammad (s.a.w.a) ki muskurahat, kahin Khuda ka kalaam hoga,
Gullon ko nisbat Ali (a.s) say hogi, kali pay Zehra (s.a) ka naam hoga,
Yeh Anbia (a.s) sab wazeer hon gey, Sardar mera Imam (a.s) hoga;
Yeh aks hai ek sultanat ka, Hussainiyat jiska naam hoga."






"Makhfi tha jo israr-e-Jali, khol raha tha,
Izhar-e-aqeedat kay gohar tol raha tha;
Mai'raj kay parday mein tha, aur lehja-e-Rabb mein,
Farman-e-Nabi (s.a.w.a) hai kay Ali (a.s) bol raha tha."








"Kia jalwa Karbala mein dikhaya Hussain (a.s) nay,
Sajday mein ja kay sar ko kataya Hussain (a.s) nay;
Khush-bakht Hurr (r.a) tha, aap kay qadmon mein aa gira,
Soya naseeb us ka jagaya Hussain (a.s) nay;
Naizay pay sar tha, aur zaban par theen ayatain,
Quran is tarah bhi sunaya Hussain (a.s) nay;
Akbar (a.s) ki khushk aankh say aansu chhalak parhay,
Sughra (s.a) ka jab payam sunaya Hussain (a.s) nay;
Sadmay mein Karbala walon ki cheekhain nikal gyeen,
Asghar (a.s) ko jab galay say lagaya Hussain (a.s) nay."





"Shabbeer (a.s) ka munh taknay lagi Banu-e-Maghmoom (s.a),
Sughra (s.a) ko liyay ronay lageen Zainab (s.a) -o- Kulsoom (s.a),
Baiti say yeh farmanay lagey Syed-e-Mazloom (a.s),
Pardah raha ab kia, tumhain khud ho gya ma'loom;
Tum chhut'ti ho, iss wastay sab rotay hain Sughra (s.a),
Hum aj say awara-watan hotay hain Sughra (s.a)."








"Nana (s.a.w.a) ho mubarak tujhay apna yeh Madina,
Karbal kay musafir ka chala aj safina,
Ik raat ka mehman hai teray dil ka nageena,
Asghar (a.s) hai meray sath, aur ma'soom Sakina (s.a);
Nana (s.a.w.a), yeh risalat ka ajr khoob mila hai,
Zainab (s.a) ko liyay watn say Shabbeer (a.s) chala hai."








"Eeman kay liyay dolat-e-baidaar hai Fizza (s.a),
Baatil kay liyay raah ki deewar hai Fizza (s.a);
Itna barha aizaz kaneezi mein kahan hai?
Darbaani-e-Saadaat ka mai'yaar hai Fizza (s.a)."








"Wafa ka zikr karay, zikr-e-ba-wafa na karay,
Kisi mein itni ho mohsin-kashi, Khuda na karay;
Hum uss faqeer ko khairat bhi nahin daitay,
Jo panjatan kay waseelay say iltija na karay;
Ibadaton pay woh khud apni fateha parhh lay,
Jo Shah-e-Deen (a.s) ki kabhi majlis-e-a'za na karay;
Ali (a.s) kay naam say roshan jinhain kiya jaayay,
Hifazat aisay chiraghon ki kyun hawa na karay!
Koi jo maangay Sakina (s.a) ka waasta day kar,
Tau kaisay hoga kay Abbas (a.s), aur a'ta na karay?!"






Momin ke liye jaan-e-hasti hai namaaz
Iman ki agosh mein basti hai namaaz
Milti nahi mehshar mein kisi qeemat per
Aay zindigi walo! Parh lo, abhi sasti hai namaaz







MERE ALFAZO K BAGHO KO HARA KAR DIJEYE,
MERE MOLA SHAIRI MUJH KO BHI ATA KAR DIJIYE,
ZINDAGI ISHQE ALI MAI HO ALI KI YE TAMAM,
DOSTO MERELIYE BAS ITNI DUUA KARDIJIYE.

0 comments: