27 August 2009

SMS on Other Imams (A.S)

 




Imam Muhammad Baqar (A.S): 
“Bandagi mein bhi jo sardar nazar aata hai,
Hu ba hu AHMAD e MUKHTAR (S.A.W.W.A) nazar aata hai;
Ilm o hikmat ka samandar hain MUHAMMAD BAQAR (A.S),
Ya Ali (A.S), aap ka kirdar nazar aata hai.”






Imam Muhammad Baqar (A.S): 
"Farishtay noor ki bahaar barsa rahay hain,
Har sawaali ko roshan raah dikha rahay hain;
Jo maangna hai, maang lo Khuda se,
Aaj duniya mein Muhammad Baqar (A.S) aa rahay hain."






Imam Musa Kazim (A.S):
"Zindan se Kazim (A.S) ko mili kaisai rihayi,
Zanjeer bhi hai tann pay, tau muhraah sipaahi,
Syed (A.S) nay kayi saal rukoo' mein hain guzaray,
Ro, ro kay yeh zindan bhi daita hai gawaahi;
Bay gor-o-kafan laash thi Baghdad kay pull par,
Lut'ti rahi bay-jurm hi Zehra (S.A) ki kamayi."






Imam Muhammad Taqi (a.s):
"Nayeb-e-Shah-e-Khurasan (a.s) ba-Khuda paida hua,
Khalq ka hadi-nawa, sall-e-a'al, paida hua;
Ummat-e-a'asi ka berha paar karnay kay liyay,
Lo, nawan (9) masnad-nasheen-e-Mustafa (s.a.w.a) paida hua."






Imam Ali Naqi (A.S):
"Hai laqab un ka Naqi (A.S), aur naam hai jin ka Ali (A.S),
14 Ma'asoomeen (A.S) mein dar asal hai chotha (4tha) Ali (A.S);
Paanchvi Maah-e-Rajab ko ho mubarak, mominon,Goad mein phir se Muhammad (S.A.W.W.A) kay nazar aaye Ali (A.S)."








"Sharaf jabeen ka hai sang-e-darr-e-Imam-e-Naqi (a.s),
Hai taaj-daar say afzal, har ek ghulam-e-Naqi (a.s);
Ali (a.s) hai naam, tau kirdar bhi hai ain-e-Naqi (a.s),
Ali (a.s) ki tarah hain mushkil-kusha Imam-e-Naqi (a.s)."

0 comments: