27 August 2009

SMS on Janab e Sani e Zehra (S.A) Bibi Zainab (S.A)












Bazaro May Karty'n hain jo Apni Numaish,
Ay Bibiyo kiya yad Tumhen Kufa Nahi hay,

Khutba bhi Diya tha tu Lehjay may Ali (A.S.) Ke,
Zianab (S.A.) ki tu Aawaz bhi Bay Parda Nahi hay.















Tanha Nabi K Ilm Ki Waris Batool Thi,
Parda'nasheen Na Hoti To Yeh Bhi Rasool Thi,
Beti Ali Ki, Fatima K Dil Ka Chain Thi,
Zainab Bazar-e-Shâam Me Bilkul Hussain Thi...












"Bint-e-Ali ,Ali Ki Tarha Sarfaraz Hai
Zainab ,Khuda Ki Shan Muhammad Ka Naaz Hai
Zainab Raza-e-Sabr KiJaiy  Namaz Hai
Zainab Nabi Ke DEEN kI Ummr-eDaraz Hai.





"Khyber Shikan Ki Beti Hoon Zainab Hai Mera Naam!
Dekhain Gai Log Sare Fatah Karon Gee Shaam!"







JINHONAY NAY LEHJAAY HAIDER(A.S) MAY GUFTAGU KE HAI
BULAND FATAH-E-KHAIBER(A.S) KE AABROO KE HAI
FAQUT ZAMANAY MAY 2 NA YEH JUSTAJU KE HAI
BAS AIK KHALIQ-E-AKBAR HAI AUR AIK ZAINAB(S.A)
JINHONAY NAY LEHJAAY HAIDER(A.S) MAY GUFTAGU KE HAI







Karbala ka kamaal hai Zainab, zaalimo ka zawaal hai Zainab

Lafz jiske liye bane hi nahi, aisa naazuk khayaal hai Zainab.







Pas tere Asadullah ka hai dil Zainab
Tujh mein Abbas bhi Shabbir bhi shamil Zainab
Kis mein himmat thi jo deta tere khutboan ka jawaab
Sub to jahil thay wahan koun tha qabil Zainab






Teri awaaz ki aahat hai jahan tak Zainab
Ek sannata sa chaya hai wahan tak Zainab
Talib-e-baiyat-e-fasiq kay faqat lab na siye
Kaat li hai teray khuthboan ne zabaan tak Zainab


Zindan main huirat key dareechon ko waa kia
her farz-e-kirdagar Ujar ker ada kia
Islam ko HUSSAIN sa bhai atta kia
Phir bhi yey poochtay ho kay ZAINAB ney kya kia?
Deen ki khizan ko thi jo zarrorat bahar ki
ZAINAB ney hans kay Chadar-e-ZEHRA nisar ki






Manzile Shaam kahaan ghayrat-e Shabbir (as)kahaan!!!!
Haa-e Sajjad(as) ko le aa-i hay taqdeer kahaan!!!!
Aaj shayad ke zamaane mein Alamdaar(as) nahi!!!!
Warna darbar mein Abbas(as) ki Hamsheer(sa) kahaan !!!!




Ho salam aap pe aye waris e deen e Islam,
Meray bekas, meray mazløom, meray tashna kaam,
Zair e khanjar bhi jo ummat ko dua de wo imam;
Haye maqtal se guzar kar jo hawa aati hai,
Girya e FATIMA ZAHRA (A.S) ki sada aati hai.” 







“Wo Yahudi tha, sar e Zehra (s.a) ki chaadar dekh k Muslim hua;
Ye Musalman they, sar e Zainab (s.a) ki chaadar le gaye.”





“Bint-e-Khatoon-e-Jinaan (S.A), Bint-e-Ali (A.S) hai Zainab (S.A),
Gulshan-e-Fatima Zehra (S.A) ki kali hai Zainab(S.A);
Kabhi Zehra (S.A), kabhi Hyder (A.S), kabhi Aghosh e Nabi (S.A.W.W.A),
Goya Quran ki godi mein pali hai Zainab (S.A),
Jab bhi ye naam liya tal gai har ik mushkil,
Ye tera naam hai ya Naad e Ali (A.S) hai Zainab (S.A).”





“Tareekh keh rahi hai Moharram ke chaand mein,
Shehzadeon k bakht achaanak ulat gaye;
Itni ghareeb ho gai Zehra (S.A) ki ladli,
Zainab (S.A) k ik libas men kai saal kut gaye.”





“Gulshan mein bahar jaisay laut ayi hai,
Abhi Mukhtaar (R.A) ne khabar kuch aisi sunai hai;
Khilkhilao ke aaj eid hai tumhari Hussainio,
Bint-e-Zehra (S.A) bhi aaj phir se muskurai hai.”





“Bibi Zainab (S.A) to her sons:
Jatay thay muhim per jo kabhi Ahmad e Mukhtar (S.A.W.W.A),
Aur lashkar e Islam pe charh atay they kuffar,
Kertay they wigha ek taraf Jaafer e Tayyar (A.S),
Larhtaye they Ali (A.S) ek taraf khainch k talwar;
Mushkil nahin kuch foj e dagha baz se larhna,
Sadqay gaee, tum b isi andaz se larhna.”





“Zainab (S.A) Khuda ke deen ki ghumkhuaar ban gai,
Azm o amal mai Haider e Karrar (A.S) ban gai;
Deen e Nabi (S.A.W.W.A) pe anch na anay di, marhaba,
Baad e Hussain (A.S) us ki madadgar ban gai;
Majlis bapaa ki baad e rayhaee Hussain (A.S) ki,
Shah e Huda (A.S) ki pehli azadaar ban gai.”






"Bulandiyon se buland hai muqaam Zainab (S.A) ka,
Durood parhh kay lia kar tu naam Zainab (S.A) ka;
Yeh sar pay chaadarain ab bhi gawahi daiti hain,
Hai pardeh-daari ka saara nizaam Zainab (S.A) ka."






"Milta naheen tha koi sahara Yazeed ko,
Bibi (S.A) nay iss tarah se ujaarha Yazeed ko;
Khatoon (S.A) jung kar naheen sakti theen, iss lye:
Khutbon ki Zulfiqaar se maara Yazeed ko."







"Nabi (S.A.W.W.A) ka Deen ab sanwar kay yeh baat tasleem kar raha hai:
Ujarh kay bhi Anbiya (A.S) kay wa'aday nibhaa gyi hai Ali (A.S) ki baiti."






"Hussain (A.S) bunn kay zamanay pay chha gyi Zainab (S.A),
Zabaan-e-taigh say Kufa hila gyi Zainab (S.A);
Qasam Khuda ki, yeh ehsaan-e-Bint-e-Zehra (S.A) hai,
Humain Hussain (A.S) ka maatam sikha gyi Zainab (S.A)."






"Reh gyi dasht mein tanha tau watan yaad aaya,
Pani jab paya tau har tishna-dehen yaad aaya;
Lay kay har cheez Madineh say chali thi Zainab (S.A),
Bhai ki laash pay ponhchi tau kafan yaad aaya."






"Shabbeer (A.S) ki ghurbat pay ronay kay waastay,
Zehra (S.A) nay baiti maang li Parwardigaar say;
Bint-e-Ali (S.A) ki jurra't-o-himmat tau daikhye,
Nasl-e-Yazeed kaat di chaadar ki dhaar say."






(Bibi Zainab (S.A)'s speech in the court of Yazeed (L.A):
 "Ismat say bana hai meray Shabbeer (A.S) ka paikar,
Tu naar hai, wo noor ki tanveer ka paikar,
Takhreeb tera azm, wo ta'ameer ka paikar,
Tu najs sarapa hai, wo tat'heer ka paikar;
Tu jismon ka haakim hai, wo zehnon ka wali hai,
Tu Muawiya-zaada (L.A), wo Hussain (A.S) ibn-e-Ali (A.S) hai."






"Maanaa kay takht-e-Shaam pay baitha hai tu, magar!
Eemaan ki sarhad pay tera raaj tau nahin;
Bay-pardegi say asmat-e-Zainab (S.A) ghati nahin,
Ka'aba, ghilaaf-e-Ka'abeh ka mohtaaj tau nahin."







"Paanch (5) Ma'soomon (a.s) ki tasveer hain yeh dono behnain,
Waris-e-aya-e-Tat'heer hain yeh dono behnain;
Bani-e-farsh-e-aza Zainab (s.a) o Kulsoom (s.a) hain,
Haamil-e-shan-e-wilayat hain yeh dono behnain."






"Masooma-e-Konain (s.a) ka kirdar hai Zainab (s.a),
Abbas (a.s) ki tarah say wafa-daar hai Zainab (s.a);
Zainab (s.a) ko pukaray tu, koi waqt-e-museebat,
Haider (a.s) ki tarah kul ki madadgaar hai Zainab (s.a)."






"Zainab (s.a) chali tau jabr ka sooraj palat gya,
Qadmon ki chaap sun kay sitam darr kay hutt gya;
Zalim Ameer-e-Shaam ka takhta ulat gya,
Khutbon kay dayiray mein zamana simat gya.





"Zainab (s.a) Yazeediyat say baghawat ka naam hai;
Lutnay na di azeez kamayi Hussain (a.s) ki,
Zainab (s.a) nay khud larhi hai larhayi Hussain (a.s) ki;
Rooh-e-amal hai, azm ki duniya ka chain hai,
Baad-e-Hussain (a.s) dehr mein Zainab (s.a) Hussain (a.s) hai."










0 comments: